Chand Ki Sundar Nagri Mein Lyrics – Mohammed Rafi, Uma Devi Khatri (Tun tun)
Chand ki sundar nagri mein
Pariyon ki
Pariyon ki raani rahti thi
Pariyon ki
Pariyon ki raani rahti thi
Chand ki sundar nagri mein
Pariyon ki
Pariyon ki raani rahti thi
Pariyon ki
Pariyon ki raani rahti thi
Chand ki sundar nagri mein
Geeton ki meethi baali mein
Wo prem kahaani kahti thi
Pariyon ki
Pariyon ki raani rahti thi
Chand ki sundar nagri mein
Aaa aaa
Phool khile the us nagri mein
Kali kali lahraati thi
Muskaati thi saari bagiyaa
Raani jab muskaati thi
Pariyon ki
Pariyon ki raani rahti thi
Pariyon ki
Pariyon ki raani rahti thi
Chand ki sundar nagri mein
Ik din ik shahzaade ne
Kuchh dekha aisaa sapna
Sapne mein raani ko dekha
Kho baitha dil apna
Aaa aaa
Udkar pahunchaa desh anokhe
Lekar man mein aas
Do naino mein rachi huyi thi
Janam janam ki pyaas
Pariyon ki
Pariyon ki raani rahti thi
Pariyon ki
Pariyon ki raani rahti thi
Chand ki sundar nagri mein
Soyi huyi thi sundar rani
Soyi huyi thi sundar rani
Band pade the nain
Jaag rahe the laakhon kitne
Jaag rahe the laakhon kitne
Karte the bechain
Karte the bechain
Aahat paakar jaagi raani
Khule nain ke dwaar
Aahat paakar jaagi raani
Khule nain ke dwaar
Jaag utha angdaayi lekar
Jaag utha angdaayi lekar
Do hirdayon mein pyaar
Jaag utha angdaayi lekar
Jaag utha angdaayi lekar
Do hirdayon mein pyaar.