Chand Bhi Hai Sitaare Bhi Lyrics – Mahendra Kapoor
Chand bhi hai sitaare bhi hai bazm mein
Chand bhi hai sitaare bhi hai bazm mein
Jaane kya raaz hai kyun ujala nahi
Chhed di maine dil ki ye baate kaha
Dil ki baate koi sunnewala nahi
Chand bhi hai sitaare bhi hai bazm mein
Mera chehra garibi ka hai ishtiha
Dekhke mujhko muh pher lete hai sab
Mera chehra garibi ka hai ishtiha
Apne sar pe shikayat apni rakhe huye
Thokre khayi duniya ke aage hajaar
Thokre khayi duniya ke aage hajaar
Aur kisine bhi badhke sambhala nahi
Dil ki baate koi sunnewala nahi
Chand bhi hai sitaare bhi hai bhasm mein
Raat dhalti rahi jashn hota raha
Raat dhalti rahi jashn hota raha
Log haste rahe koi rota raha
Shukriya kis juba se ada kijiye
Dil mein kaata zamana chubhota raha
Dil mein kaata zamana chubhota raha
Mujhko mahfil se lekin nikala nahi
Dil ki baate koi sunnewala nahi
Chand bhi hai sitaare bhi hai bazm mein
Jaane kya raaz hai kyun ujala nahi
Chand bhi hai sitaare bhi hai bazm mein.