Bura Tum Na Maano Lyrics – Asha Bhosle, Mohammed Rafi
Bura tum na maano to ik baat keh doon
Tumhaari adaaon pe dil aa gaya hai
Hai kehna agar to nayi baat kahiye
Yeh sun sun ke dil apna ghabra gaya hai
Bura tum na maano to ik baat keh doon
Bahaaron ka mausam yeh kaali ghataayen
Yeh kehti hain tum ko gale se laga loon
Tumhen aaj main dil ki dhadkan suna kar
Mohabbat ka apni
Deewana bana loon, deewana bana loon
Yeh gaalon pe kaliyon ka maasoom bachpan
Yeh chandan sa mukhda mujhe bhaa gaya hai
Bura tum na maano to ik baat keh doon
Wahi dil ki dhadkan ke jhoothe taraane
Wahi geet sau baar jo sun chuki hoon
Chale ho wahi tum mujhe phir sunaane
Mujhe phir sunaane
Khuda ke liye mera peechha to chhodo
Mera dil muhabbat se ukta gaya hai
Hai kehna agar to nayi baat kahiye
Ye sunsun ke dil apna ghabra gaya hai
Bura tum na maano to ek baat keh doon
Mohabbat se nafrat agar tum karogi
Kahaan le ke jaaogi phir yeh jawaani
Bhala aaina bhi kahaan tak sunega
Tumhaari zubaan se tumhaari kahaani
Tumhaari kahaani
Karo shukr tum mere deewanepan ka
Mohabbat ka jis par nasha chha gaya hai
Bura tum na maano to ek baat keh doon
Bahut hum ne dekhe jawaan aap jaise
Jinhone mohabbat ka kar ke bahaana
Banaaya hamesha nigaahon se apni
Haseenon ke maasoom dil ko nishaana
Dil ko nishaana
Magar main na behkoongi yeh baat sun kar
Zamaana mujhe khoob samjha gaya hai
Bura tum na maano to ek baat keh doon
Tumhaari adaaon pe dil aa gaya hai
Hai kehna agar to nayi baat kahiye
Yeh sun sun ke dil apna ghabra gaya hai
Bura tum na maano to ek baat keh doon.