Broken But Beautiful Lyrics – Priya Malik
Aasmaan mein chamkte hue sitaare to hum roz dekhate hain
Lekin sirf kisi toot’te hue taare ko dekh,
Aankhen moonde, hum sapne sekte hain
Kuch cheezon ki keemat unke tootne ke baad badh jaati hai
Jaise ki dil, rishte aur un rishto mein ulajhe hue logon ke toote foote se dil
In japan, there is the art of kintsugi
Wherw broken ceramics are put back together again
Their cracks are filled with gold cement,
To remind you, remind me and all of us that broken can be beautiful again
To remind us, that memories may fade but don’t be afraid to remember,
To remind us, the important of being and staying glued in this together
To teach us, that our past history is what actually helps us reset
To remind us, that even though the heart moves on, does it really.. Really forget?
Main nahin jaanti ki toote hue tukdon ko kaun jodata hai?
Lekin itna jaroor jaanti hoon ki thand se thithurta hua wo aadmi
Aaj bhi fati huyi chaadar kyon odhta hai?
Kyonki wo chaadar aaj bhi use apni yaad dilaati hai
Wo chaadar aaj bhi khud ko khud se milaati hai
Kintsugi mein jab do toote hue tukdon ko joda jaata hai, unhen waqt diya jaata hai
Gond ko saans lene ka, kaarigar ko tukde baantne ka
Do toote hue log bhi to aise hi milte hai saans lete hue, saans dete hue
Pahle juda lekin phir saath bhi to chalte hain
Saath chalte hain lekin is darr se ki kahin vo ek baar kahin toot na jaye
The fear of having to hear or say yet another goodbye
The fear of loving way too much or may be just a little
The fear of knowing that their hopes and dreams are still way too brittle
Lekin wo pyaar bhi kya?
Jise khone ka dar na ho
Wo musaafir bhi kya?
Jiska sach mein koi ghar na ho
Agar safar pe akele chal rahe ho to
Ek thandi saans toh andar kheenchon
Aaj agar toote hue ho to
Kal shiddat se bikharna bhi to seekho
Seekho kyonki majnu ne bhi to laila ke saath odha tha kafan,
Seekho kyonki shahjahan bhi to aaj hai mumtaaz ke saath dafan
Dekho ki ishq marne ke baad bhi nahin marta,
Aashikon ka dil kabhi tootne se nahin darta
Ishq ki fati hui chaadar ko odh lo
Sidhe raaste pe bahut chal liye
Aaj khud ke liye ek mod lo
Ek doosre ka haath thaamo saphar ke liye, manzil ke liye nahin
Apne humsafar ko uski apni raah chunne do
Raaste alag ho sakte hain lekin jazba rakho toh sahi
Kya hua? Agar toot jaoge phir kisi din
Uth ke yahi to kahoge na, “i did it all over again.”
So my dear listeners,
Repeat and repeat it with me that you’re broken, you’re broken but you
Beautiful
And beautiful is strong enough to be broken again.