Bilqis Lyrics – Rabbi Shergill
Mera naam bilqis yakub rasool
Mujhse hui bas ek hi bhool
Ki jab dhhundhhte thhe vo ram ko
Mera naam bilqis yakub rasool
Mujhse hui bas ek hi bhool
Ki jab dhhundhhte thhe vo ram ko
To maen kharhi thhi rah mein
Pehle ek ne puchha na mujhe kuchh pata thha
Dujey ko bhi mera yehi javab thha
Fir itno ne puchha ki mera ab saval hai ki
Jinhe naaz hai vo kahan hain
Mera naam shriman satyendra dubey
Jo kehna thha vo keh chukey
Ab parhey hain rah mein
Dil mein liye ik goli
Bas itna kasur ki hamne likha thha
Vo sach jo har kisi ki zuban thha
Par sach yahan ho jatey hain zahriley
Jinhe naaz hai hind par vo kahan the
Jinhe naaz hai vo kahan hain
Mujhe kehte hain anna manjunath
Maine dekhi bhatakti ek laash
Zamir ki beech sarhak lakhimpur kherhi
Adarsh phasan jahan naaron mein
Aur chor bharey darbaron mein
Vahan maut akhlaq ki hai ik khabar baasi
Jinhe naaz hai hind par vo kahan hain
Jinhe naaz hai vo kahan hain
Mazha nau aahe navleen kumar
Unnees june unnees var
Unnees unnees unnees unnees
Unnees vaar
Unnees unnees unnees unnees
Unnees unnees unnees unnees
Unnees unnees unnees unnees
Unnees vaar
Looto dehaat kholo bazaar
Nallasopara aur virar
Chheeno zameen hamse hamein
Bhejo pataal
Jinhe naaz hai hind par vo kahan hain
Jinhe naaz hai vo kahan hain.