Bhule Se Na Bhulenge Kabhi Lyrics – Chandan Dass
Kabhi ghuzre zamane
Bhule se na bhulenge
Kabhi ghuzre zamane
Woh reshami lamhein
Woh mohabbat ke fasane
Bhule se na bhulenge
Kabhi ghuzre zamane
Bhule se na bhulenge
Kabhi ghuzre zamane
Pedon ki ghani chhanv thi
Baarish ka mahina
Takrai tabhi mujhse huyi
Shokh haseena
Chandan se badan wali
Woh sabnam si nazakate
Pehali hi nazar mein huyi
Aapas mein mohabbate
Khusboo se bhari waadi
Bahare hi bahare
Madhosh banati thi
Woh phoolo ki kataare
Aafat thaa ghame hizra
Mushibat thi judaai
Tufaa se jo aaye to mili
Mujhe ko khudaai
Laayi thi woh saath
Apne kahin aur khazane
Bhule se na bhulenge
Kabhi ghuzre zamane
Na cheez pe mera haq tha
Na armaan pe kaabu
Mujh par thaa kuch aisa
Mere mehboob ka jaadu
Daaman mein jaise mere
Bas chaand sitaare
Din khoob ghujarte the
Mohabbat ke sahare
Saanso mein meri aadhi hain
Wo rang wo garmi
Abhi hain mere haath mein
Uss haath ki narmi
Do jism the ek jaan thi
Aisa bhi samma thaa
Iss tarah judaa huye na
Ye weho ghuma thaa
Woh kasme woh wade
Woh addaye woh bahane
Bhule se na bhulenge
Kabhi ghuzre zamane
Malum na thaa dega
Dawa mera muqaddar
Woh door chali jaayegi
Mujhse bichhad kar
Majboor hun bebas hun
Main kuch nahi kar sakta
Khaayi thi kasam uski
Main mar bhi nahi sakta
Haalat ye kehate hain ke
Woh meri nahi hain
Par bhul na paayegi
Mujhko ye yakeen hain
Ranjhish nahi hain ab
Ye bhi woh mujhse juda hain
Woh khush ho salamat ho
Ye hi meri duaa hain
Kehata hain mera dil ke
Kabhi pyaar na karna
Ho jaaye agar pyaar to
Izhaar na karna
Yaar dosti chali jaati hain
Tanhai sajahye
Bhule se na bhulenge
Kabhi ghuzre zamane
Woh reshami lamhein
Woh mohabbat ke fasane
Bhule se na bhulenge
Kabhi ghuzre zamane
Kabhi ghuzre zamane
Kabhi ghuzre zamane.