Bhookh Hi Bhookh Hai Lyrics

in

"Bhookh Hi Bhookh Hai" Song Details:

Movie: Mazdoor Zindabaad (1976)
Singer(s):Mohammed Rafi
Lyricist(s):Asad Bhopali
Composer(s):Usha Khanna
Music Director(s):Usha Khanna
Genre(s):Sad
Director(s):Naresh Kumar
Music Label:© Saregama
Starring:Randhir Kapoor, Parveen Babi, Manmohan Krishna, Rajendra Kumar
Release on:10th March, 1976

Bhookh Hi Bhookh Hai Lyrics – Mohammed Rafi

lyricsbogie.com
Bhookh hi bhookh hai
Insan se haiwan tak
Bhagwan se shaitan tak
Bhookh hi bhookh hai
Bhookh hi bhookh hai

Bharat desh me sab kuch hai
Ho daulat bhi hai anaj bhi
Or dudh ki nadiya bahti hai
Ho is dharti pe aaj bhi magar
Ye sab kuch chupa hai
Chor ke tahkhano me
Magar ye sab kuch
Chupa hai chor ke tahkhano me
Jo mahangayi faila kar
Khud aish kare maykhano me
Lanat hai in gaddaro par
Yahi to desh ke dusman hai
Ram raj ko lutne wale
Aaj bhi kitne rawan hai
Daulat ka koi bhookha hai
Roti ka koi bhookha hai
Bhookh hi bhookh hai
Bhookh hi bhookh hai

Daulat ne insano ko ho
Do hisso me bat diya hai
Ek amir or ek garib
Do namo ne janam liya hai
Unche mahal makhmal ke gadde
Chandi sona ek taraf
Tute jhopad khak ka bistar
Dukh ka rona ek taraf
Kimti care sari bahare ho
Sukh ka jina ek taraf
Jalte paw nanga badan ho
Mehanat ka pasina ek taraf
Bhookh kahi aaram ki
Bhookh kahi hai kam ki
Bhookh hi bhookh hai
Bhookh hi bhookh hai

Is dunia ke mele me
Ye khel bhi dekha jata hai
Koi dudh malai khata hai
Koi jhuthan ko lalchata hai
Pet ki aag bujhane ko jab
Jhuthna koi uthata hai
Ek bhookhe se dusra bhookha
Chinta hai le jata hai
Hotel ho ya kachra ghar
Haye roti jaha mil jati hai
Insan or hawan ko ho ooo
Bhookh ek jagah le aati hai
Yahi tamsha duniya me
Sadiyo se dekha jata hai
Magar wo uparwala kisi ko
Bhookha nahi sulata hai
Bhookha nahi sulata hai.

Bhookh Hi Bhookh Hai Lyrics PDF Download
Print PDF      PDF Download

never miss latest songs lyrics.

Sign up to receive an email whenever we post latest hindi song lyrics.

100% No Spamming.