Bhari Mahafil Hai Lyrics

in

"Bhari Mahafil Hai" Song Details:

Movie: Mehndi (1958)
Singer(s):Lata Mangeshkar
Composer(s):Ravi Shankar Sharma (Ravi)
Music Director(s):Ravi Shankar Sharma (Ravi)
Genre(s):Happy (Feel Good)
Director(s):S.M. Yusuf
Music Label:© Saregama
Starring:Ajit, Jay Shree T, Veena, Lalita Pawar, Kumar, Balam, Adeeb, Anwari, Jayashree Gadkar, Krishnakant, Mirza Musharraf
Release on:18th June, 1958

Bhari Mahafil Hai Lyrics – Lata Mangeshkar

Bhari mahafil hai aur ab
Rang par mahafil bhi aayi hai
Uthi hai huq bhi dil se to
Dil hi me dabaayi hai
Magar jab dil dukhaayaa hai
To lab tak baat aayi hai
Ye afasaanaa nahi ai
Sunanevaalo dil ki baate hai
Siyaahi gam ki hai vaise
Badi ragin raate hai
Ye afasaanaa nahi hai

Jo samajho to janaaze hai jo
Dekho to baraate hai
Ye afasaanaa nahi hai

Hai gustaakhi magar kahanaa
Hai kuchh duniyaa se mardo se
Sharifo manachalo mullaaho
Se avaaraagardo se
Hai bepardaa magar taane
Diye jaate hai pardo se
Ye afasaana nahi hai

lyricsbogie.com
Jo sach puchho tumhi mardo
Ne ye kothe sajaaye hai
Hasi baazaar tumane apne
Haatho se lagaaye hai
Tumhaari hi badaulat ham bhi
Is mahafil me aaye hai
Ye afasaana nahi hai

Ye kyaa duniyaa hai ham se
Har ghadi nafarat jataati hai
Buraa kahati hai ham ko
Phir buraai karane jaati hai
Hame duniyaa ki is be gairati
Par sharm aati hai
Ye afasaana nahi ai sunanevaalo
Dil ki baate hai
Siyaahi gam ki hai vaise
Badi ragin raate hai
Ye afasaana nahi hai

Tum apni biwiyon ko chhodkar
Kothon pe jaate ho
Tum apne ghar ki daulat ko
Wahaan jaaker lutaate ho
Khushaamadi naazubaldaari
Par tum jooti bhi khaate ho
Khushaamadi naazubaldaari
Par tum jooti bhi khaate ho
Ye afsaana nahihai

Jo samjho thaap tabaley ki to
Ye munh par tamaache hai
Ye saarangi ke taaron par
Dilon ke taar bajate hain
Yahan insaaniyat khud
Naachti hai ham nachaate hain
Ye afsaana nahihai

Ye jo kothe ki mallika hai
Ye jo koocho ki raani hai
Jo padh sakte ho padh lo
Ye tumhaari hi kahaani hai
Jo padh sakte ho padh lo
Ye tumhaari hi kahaani hai
Samaaj o kaum ki be
Aabrooyi ki nishaani hai
Samaaj o kaum ki be
Aabrooyi ki nishaani hai
Ye afsaana nahihai

Arey o zindagi ke thekedaaron
Kuchh to sharmaao
Uthaakar husn ka bazaar
Apne ghar me le jaao
Arey o zindagi ke thekedaaron
Kuchh to sharmaao
Uthaakar husn ka bazaar
Apne ghar me le jaao
Sahara do
Sahara do aur inko ma
Behen beti kehalwaao
Sahara do
Sahara do aur inko ma
Behen beti kehalwaao
Ye afsaana nahihai
Ye afsaana nahiaiye sunanewaalo
Dil ki baate hain
Siyaahi gham ki hai waise
Badi rangeen raate hai
Ye afsaana nahihai.

Bhari Mahafil Hai Lyrics PDF Download
Print PDF      PDF Download

never miss latest songs lyrics.

Sign up to receive an email whenever we post latest hindi song lyrics.

100% No Spamming.