Bhagwan Ki Dekho Bhool Ki Bichada Lyrics – Mohammed Rafi
Bichad gaya dali se ek phool
Raha ab kisse nata
Aasman ab pita hai iska
Or dharti iski mata
Bhagwan ki dekho bhul
Ye kismat ki bat hai kali rat
Opr kato se ghira ha igulab
Vidhi ne na jane kin ghadiyo mein
Likhi hai ye kitab
Likhi hai ye kitab
Ab samaj ke atyacharo ka
Jab chakkar chalega
Dar lagta hai tufano me
Kaise diya jalega
Kaise diya jalega
Diya jis malik ne pran
Usi ki hogi ab pahchan
Jo balak sab ka kahlata
Aasman ab pita hai iska
Or dharti iski mata
Bhagwan ki dekho bhul
Ye kisne chedi sahnayi
Kiski chali hai doli
Kis bhai se bichad chali hai
Ye bahna anboli
Ye bahna anboli
Ik pyar tha wo bhi ruth chala
Ek tar tha wo bhi tut chala
Do nanhi nanhi aankho se
Aasu ka jharna fut chala
Aasu ka jharna fut chala
Hui dur ye sar se chaw
Bahan bhi chali hai apne gaw
Kaun ab dhir bandhata
Aasman ab pita hai iska
Aur dharti iski mata
Bhagwan ki dekho bhul
Bichad gaya dali se ek phool
Raha ab kisse nata
Aasman ab pita hai iska
Or dharti iski mata
Bhagwan ki dekho bhul.