Bhagwan Ek Insan Ki Sunata Hu Kahani Lyrics – Mohammed Rafi
Bhagwan ek insan ki sunata hu kahani
Ashko ki jubani kuch aaho ki jubani
Ashko ki jubani kuch aaho ki jubani
Mai khush tha ke khud maine
Banai hai ye dunia
Lekin teri dunia ne jala di meri dunia
Yad aate hai wo din to
Sulagta hai kaleja
Thamta nahi aaho ka dhua
Sine ke andar
Rukti nahi roke se in ashko ki rawani
Bhagwan ik insan ki sunata hu kahani
Ujadi hui basti ka nisha tak nahi milta
Ho aag lagai ke dhua tak nahi milta
Har geet khushi ka sisakti hui fariyad
Sine se lagaye hue
Firta hu bas ek yad
Hotho pe kuch aahe hai
To aankho me kuch aasu
Le deke yahi rah gayi
Ye sari nishani
Bhagwan ek insan ki sunata hu kahani
Bhagwan mujhe dekh ke mai
Hak pe lada hu
Sachai ka deepak liye
Aandhi pe khada hu
Andhiyaro se iman ki
Bate na chupengi
Thak jayega rahi
Kabhi rahe na thakengi
Sach bol kahi dil tera
Pathar to nahi hai
Chup chap jo sunta hai tu
Insan ki kahani
Ashko ki jubani hai
Kuch aaho ki jubani
Bhagwan ek insan ki sunata hu kahani
Ashko ki jubani hai
Kuch aaho ki jubani.