Bezubaan Phir Se Lyrics – Anushka Manchanda, Madhav Krishna, Vishal Dadlani
Jaan le ki kismat ne baante hain
Raahon mein kaante hain
Aur main bhi hoon ziddi,
Aaun kismat ke aade
Naa roke rukoon, tu gira main utthun
Pinjre todkar, phailaaunga main par
Tujh mein jitna hai zor,
Tu lagale magar
Hans ke kat jaayega,
Na jhukega ye sar
Jaan le ki kismat ne baante hain
Raahon mein kaante hain
Raahon mein kaante hain..
Raahon mein kaante hain..
Naa roke rukoon, tu gira main utthun
Regzaaron mein, aag hai jitni
Hai lahu kholta mera,
Inn ragon mein phir bhi
Khaaksaaron ko, khaak hi kaafi
Raas mujhko hai khamoshi meri
Bezubaan kab se, main raha
Begunaah sehta, main raha
Bezubaan kab se, main raha
Begunaah sehta, main raha
Jaan le ki kismat ne baante hain
Raahon mein kaante hain
Raahon mein kaante hain
Raahon mein kaante hain..
Kismat ne baante hain
Raahon mein kaante hain
Mere taraano pe, likhii hai kaalikhey
Ye aag sapno ki, raakh haathon mein
Sooni aankhon mein,
Chalti umeed hai aakhri
Na mila mauka, na mili maafi
Kehdo kitni sazaa aur baaki
Bezubaan kab se, main raha
Begunaah sehta, main raha
Bezubaan kab se, main raha
Begunaah sehta, main raha
Jaan le ki kismat ne baante hain
Raahon mein kaante hain
Aur main bhi hoon ziddi,
Aaun kismat ke aade
Naa roke rukoon, tu gira main utthun
Pinjre todkar, phailaaunga main par
Tujh mein jitna hai zor,
Tu lagale magar..
Tu lagale magar..
Tu lagale magar..
Hans ke kat jaayega,
Na jhukega ye sar.