Beta Jamure Keh De Duniya Ko Lyrics – Mohammed Rafi, Manna Dey
Kya juth kahega na ji
To sach kahega ha ji
Beta ja jamure ek bat kahega
Sach kahega sach kahega
Ha ji ha ji ha ji ha ji
Beta jamure,
Beta jamure kahde
Duniya ko lalkar ke
Beta jamure kahde
Duniya ko lalkar ke
Do din ki jindagi hai
Kyu na gujare pyar se
Beta jamure kahde
Duniya ko lalkar ke
Do din ki jindagi hai
Kyu na gujare pyar se
Beta jamure
Kahte hai ke sadiyo pahle
Bandar se insan bana
Kahte hai ke sadiyo pahle
Bandar se insan bana
Lekin sach pucho to
Wo insan nahi saitan bana
Fir se bandar banke sikho
Jina kisko kahte hai
Tumse to hewan bhi ache
Tumse to hewan bhi ache
Jo miljul rah kar rahte hai
Lade bhai se bhai
Bane ho sabhi kasai
Kahi insan ki surat
Najar na hamko aayi
Tod rahe yuhi sar apna
Nafrat ki diwar se
Are nafrat ki diwar se
Beta jamure kahde
Duniya ko lalkar ke
Do din ki jindagi hai
Kyu na gujare pyar se
Beta jamure
Paisa bada sahi par tum to
Usko bap samjhate ho
Paisa bada sahi par tum to
Usko bap samjhate ho
Kutta chahe khale
Hamko dena pap samnjhte ho
Darte ho bhagwan se
Mandir bade bade banwate ho
Dan pun ki ot me apne
Dan pun ki ot me apne
Mann ka khot chipate ho
Parbhu riswat na mane
Khara khota pahchane
Wo rahta hai kutiyan me
Sabko iksa jane
Pahle hamse gale milo
Jo milna hai kartar se
Beta jamure kahde
Duniya ko lalkar ke
Do din ki jindagi hai
Kyu na gujare pyar se
Beta jamure
Dil me sab ke juth bhara hai
Or bato me banawat hai
Dil me sab ke juth bhara hai
Or bato me banawat hai
Dudh me pani ghee me maida
Aate me bhi milawat hai
Dam agar do chawal ke
To pathar sath me aata hai
Sauda karo namak ka lekin
Sauda karo namak ka lekin
Chuna sath me aata hai
Haldi me hai chini mitti
Lash mili hai dhaniye me
Khot nahi chizo me bhaiya
Are khot ke mann ke baniye me
Jio tum pikar pani
Padegi hawa hai khami
Daya hi dan hamara
Aa rahi yaro beimani
Socho to kya chale hum leke
Duniya ke bazar se
Beta jamure kahde
Duniya ko lalkar ke
Do din ki jindagi hai
Kyu na gujare pyar se
Beta jamure.