Beete Pal (Title) Lyrics – Nandini Shrikar
Jaise woh din phir laut aaye
Beete pal yaad aaye
Phir se aankhein puraane nazare loote
Jaise raaton mein sitaare tute
Beete pal yaad aaye
Hum jab bhi bachpan ki yaade tatole
Toh har saans har dhadkan har lamha bole
Kaash woh din laut aaye
Beete pal yaad aaye
Aisa lage jaise sadiyaan beeti
Jaise woh din phir laut aaye
Beete pal yaad aaye
Hole hole sir ko koi sehlaake
Ungali pakad ke chalaye
Dheeme dheeme mujhko gale se lagake
Woh godi mein le ke sulaaye
Jaise jaise neendiya akhiyo mein aaye
Woh halke halke se chaadar odhaye
Jo bachpan mein dekhe
Woh sapne kahaan hai
Jo saath rehte they apne kahaan hai
Koi woh lori sunaaye
Beete pal yaad aaye
Aisa lage jaise sadiyaan beeti
Jaise woh din phir laut aaye
Beete pal yaad aaye
Nanhe nanhe dil mein
Kisi mushkil mein jab bhi koi dar samata
Chhote chhote dil mein
Chidiyon ke par se chhun kar haan koi hasata
Bhigi bhigi palkein chhile huye ghutane
Jo le ke pohachte toh malham lagata
Woh joothe se mere bahano ko sunke
Kahaani samajh kar bhi galti bhulaye
Koi gale se lagaaye beete pal yaad aaye
Aisa lage jaise sadiyaan beeti
Jaise woh din phir laut aaye
Beete pal yaad aaye.