Bapu Ki Ye Amar Kahani Lyrics – Mohammed Rafi
Bapu ki ye amar kahaani
Phir puran swaraaj ka
Naara jaala aur pukara
Azaadi ka veer sipahee
Kabhi na himmat haara
Phir daandi par jaakar
Apane haathon namak banaaya
Saare desh ko satyagrah ka
Sundar sabak padhaya
Bharatwasi japate the
Phir gandhi naam ki mala
Chaalish karod dilon mein
Chhaya ek langoti wala
Suno suno aye duniya waalon
Bapu ki ye amar kahani
Sachhai ka atal pujari
Jisne kabhi na himmat haari
Sarkaari kanoon todkar
Duniya ke aaram chhod kar
Desh ki khatir jail gaya aur
Apne sukh par khel gaya
Suno suno aye duniya waalon
Bapu ki ye amar kahani
Harijano ka maan badhaane ki
Khatir brat rakhha
Gandhi ne duniya ke aage
Ek naya mat rakhha
Gaam gaam mein harijano ki
Haalat dekhi bhaali
Harijan naam se harisevak ne
Ik akhbaar nikaali
Congress ki baagdor
Phir veer jawahar ko dekar
Shuru kiya bapu ne
Apna gram sudhar ka chakkar
Suno suno aye duniya waalon
Bapu ki ye amar kahani
Ek nayee awaaz jo aayee
Shuru huyi ik nayee ladayee
Goonjha phir bapu ka naara
Chhodo hindustan hamara
Chhodo hindustan hamara
Phir aayi ik jail yatra jailon se
Kab darta tha woh
Azaadi ka parwana thaa
Azaadi par marta tha woh
Suno suno aye duniya waalon
Bapu ki ye amar kahani
Woh bapu jo pujya hai itna
Jitana ganga maa ka paani
Suno suno aye duniya waalon
Bapu ki ye amar kahani.