Banjaara Lyrics – Mohammed Irfan
Jise zindagi dhoondh rahi hai
Kya ye woh makaam mera hai
Yahaan chain se bas ruk jaaun
Kyun dil ye mujhe kehta hai
Jazbaat naye se mile hain
Jaane kya asar ye huaa hai
Ik aas mili phir mujhko
Jo qubool kisi ne kiya hai
Haan
Kisi shaayar ki ghazal
Jo de rooh ko sukoon ke pal
Koi mujhko yun mila hai
Jaise banjaare ko ghar
Main mausam ki sehar
Yaa sard mein dopahar
Koi mujhko yun mila hai
Jaise banjare ko ghar
Hmm
Jaise koi kinaara
Deta ho sahaara
Mujhe wo mila kisi mod par
Koi raat ka taara
Karta ho ujaala
Waise hi roshan
Kare woh shehar
Kuch aisa asar huaa
Jeena mujhe woh
Phir se woh sikha raha
Hmm jaise baarish kar de tar
Yaa marham dard par
Koi mujhko yun mila hai
Jaise banjare ko ghar
Main mausam ki sehar
Yaa sard mein dopahar
Koi mujhko yun mila hai
Jaise banjaare ko ghar
Muskaata yeh chehra
Deta hai jo pehraa
Jaane chhupata
Kya dil ka samandar
Auron ko toh hardam
Saaya deta hai
Woh dhoop mein hai
Khada khud magar
Chot lagi hai use phir kyun
Mehsoos mujhe ho raha hai
Dil tu bata de kya
Hai iraada tera
Main parinda besabar
Tha uda jo darbadar
Koi mujhko yun mila hai
Jaise banjare ko ghar
Main mausam ki sehar
Yaa sard mein dopahar
Koi mujhko yun mila hai
Jaise banjare ko ghar
Koi mujhko yun mila hai
Jaise banjare ko ghar
Jaise banjare ko ghar
Jaise banjare ko ghar
Jaise banjare ko ghar.