Bahot Khubsoorat Lyrics – Pankaj Udhas
Bahot khubsoorat ho tum
Bahot khubsoorat ho tum
Kabhi main jo keh doon
Mohabbat hain tumse to
Mujhko khuda galat mat samja na
Meri jarurat ho tum
Bahot khubsoorat ho tum
Bahot khubsoorat ho tum
Hain phoolo ki daali ye baahein tumhari
Hain khamosh jaadu nigahein tumhari
Jo kaante ho sab apne daaman mein rakh loon
Sajaun main kaliyon se raahein tumhari
Nazar se zamane ki khud ko bachana
Kisi aur se dekho dil na lagana
Ke meri amanat ho tum
Bahot khubsoorat ho tum
Bahot khubsoorat ho tum
Kabhi main jo keh doon
Mohabbat hain tumse to
Mujhko khuda galat mat samja na
Meri jarurat ho tum
Bahot khubsoorat ho tum
Bahot khubsoorat ho tum
Hain chehra tumhare ke din sunehra
Aur uss pe ye kaali ghata o ka pehara
Gulaabon se naajuk mehakta badan hain
Ye lab hain tumhare ke khilta kamal hain
Bikhero jo zulfein to sarmaye baadal
Ye zaahid bhi dekhe to ho jaaye paagal
Wafa ki jamurat ho tum
Bahot khubsoorat ho tum
Bahot khubsoorat ho tum
Kabhi main jo keh doon
Mohabbat hain tumse to
Mujhko khuda galat mat samja na
Meri jarurat ho tum
Bahot khubsoorat ho tum
Bahot khubsoorat ho tum
Jo banke kali muskurati hain aksar
Sabe hizra mein jo rulaati hain aksar
Jo lamho hi lamho mein duniya badal de
Jo shayar ko de jaaye pehalu ghazal ke
Chhupa na jo chahen chhupai na jaaye
Bhulana jo chahen bhulayi na jaaye
Woh pehali mohabbat ho tum
Bahot khubsoorat ho tum
Bahot khubsoorat ho tum
Kabhi main jo keh doon
Mohabbat hain tumse to
Mujhko khuda galat mat samja na
Meri jarurat ho tum
Bahot khubsoorat ho tum
Bahot khubsoorat ho tum.