Badtamizi Pe Ham Aa Gaye To Lyrics – Asha Bhosle
Humse koi ghustaki ho
Bura na uska manana
Munh hain chhota baat badi hain
Hanske tum na talana
Main to hoon bazari lekin
Aap hain ijat wale
Ayashike adhe khole
Ghunha pe parde dale
Baktamizi pe baktamizi pe
Hum aa gaye to
Tum sharifo ka phir kya hoga
Ho baktamizi pe hum aa gaye to
Tum sharifo ka phir kya hoga
Hain shishe ke ghar tumhare
Hain shishe ke ghar tumhare
Oo mara pathar to phir kya hoga
Baktamizi pe hum aa gaye to
Tum sharifo ka phir kya hoga
Behaya humko tumne banaya
Jisam bikata hain tumne sikhaya
Behaya humko tumne banaya
Jisam bikata hain tumne sikhaya
Ye na socha hain garmi ya sardi
Rashte par mujhe la bithaya
Jisne thukaraya usko jo maine
Ho mari thokar to phir kya hoga
Baktamizi pe hum aa gaye to
Tum sharifo ka phir kya hoga
Dag cheharo ke ginkar batau
Ha main jo aayi na tumko dikhau
Dag cheharo ke ginkar batau
Koi do char das ho to bolu ya
Taraju pakad ke main tolu
Harkate inki puchho na humse
O mara thapad to phir kya hoga
Baktamizi pe hum aa gaye to
Tum sharifo ka phir kya hoga
Main to badnaam galiyo ki rani
Kya mahobat ki chhedu kahani
Ha main to badnaam galiyo ki rani
Kya mahobat ki chhedu kahani
Maine chaha jise mit gaya wo
Uski yade hain uski nishani
Ho gaya zinda ek din jo markar
Mera dilbar to phir kya hoga
Baktamizi pe hum aa gaye to
Tum sharifo ka phir kya hoga
Hai shishe ke ghar tumhare arey
O mara pathar to phir kya hoga
Baktamizi pe hum aa gaye to
Tum sharifo ka phir kya hoga.