Baba Mere (Title) Lyrics – Amit Kumar Ganguly, Leena Chandavarkar, Muktika Ganguly
Baba mere itna bata do
Bhgwaan ka ghar kitna hain door
Kya jaante ho uska pata tum
Mobile number toh hoga zaroor
Roz raat ko jagte sote huye sochati hoon
Jo bhi jaaye wahaan kabhi laut ke aata nahi kyun
Badle mein mere is baar koi tohfa na laana
Bas ek baar hi mere daadu se mujhko milaa
O muktika chal tujhe leke chalun main wahaan
Door gagan mein kahin socho to kaun hai wahaan
O muktika chal tujhe leke chalun main wahaan
Door gagan mein kahin socho to kaun hai wahaan
Jo bhi kaho chahiye haazir hai jaan
Pas mere aa jaao na chehra zara dikhlaao naa
Kaise nahi pehchanuga gale mere lag jaaona
Muktika mera naam aap hi ki toh hoon main deewani
Sabhi kehte hain ke daadu ki hoon main nishani
Aankhon pe mere vishvaas nahi ho raha hai
Baba ne mere aakhir mujhko tumse mila hi diya
Tukda jigar ka hai woh bhar aayi aankhein meri
O muktika sun zara baba tera hain mere
Tukda jigar ka hai woh bhar aayi aankhein meri
Khush raho dono sada meri duaan
Ina meena diga muktika
Tere aage chaand fika fika
Sang mere tum bhi gaao na
Paanch rupaiya baara aana
Paanch rupaiya baara aana
Maarega bhaiya na na na na
Meri hakka hakka bakka
O duniya paagal hai samjota
Daali tuti phal hai kachcha
Kahaan se laaya pakka
Pa pa paa pa pa paa pa pa paa
Pa pa paa pa pa paa pa pa paa
Chil chil chilla ke kazri sunaye
Jhoom jhoom kauaa bhi dholak bajaye
Are waah waah waah are waah waah waah
Are waah waah waah are waah waah waah
Bhagwaan ke ghar mujhe chhod ke kabhi mat jaana
Pyare dadu mere mujhe phir se abhi na rulana
Khush hoon main bahut pyare dadu thank you
I love you i love you i love you chalo ghar chalo na
O muktika love you to rona nahi tum kabhi
Sapne mein roz aaunga karta hoon wada bhi
Jaadu ki jhappi toh do daadu ki jaan
Dadu mere raato ko sapne mein daadu mile
Khushi ke aansu hai ye tum bhi toh they saath mein
You all the best for the baba mere.