Asal Khel (Title) Lyrics – Nickvijay
Yeh samay yatra hai
Chal sattar ke raasto ke beech
Jahaan na koi
Bhed bhaav na koi
Gora na kaala na uccha na neech
Aadmiyat ke naam pe de rahe
Attyachar aur fir bhi hum dheet
Ukhaad le jo ukhaadna hai
Khel ke aage na hogi kissi ki jeet.
Asal khel hai yeh
Iss khel ke khiladi hum
Aasaan samajh na chote
Sabse bade khiladi hum
Asal khel hai yeh
Iss khel ke khiladi hum
Aasaan samajh na chote
Tu jaali aur sab pe bhaari hum
Angaaro ke saath bujhaane badle ki aag,
Jee gaye woh asli aur mit gaye woh jhaag
Khel yeh uss taale ki chaabi,
Khule bheetar khatam sab vinaashkaari
Sadak se aaya yeh khel iss khel ko
Asal rakhna humaari zimmedaari
Aaye hai karne kuch hatkat
Datkar karne kuch bhaari scene jamkar
Bhaukne waale kutte bohot
Ekta se ladenge nahi hoga batkar
Dharam hai na koi jaat teri soch tu sochle
Kis taraf muda hai jab tu kala se juda hai
Toh dhundhle khud ke bheetar basa khuda hai
Jahaan insaan ki soch rukhe
Khel ki shuruvaat hai
Shuruvaat hi aisa, kehne ki kya baat hai
Gazab kalakaari public pagal hori apni mehnat jaari
Kaise kar lete hai yeh sochke
Vegyaanik logo mai chaahi hairaani
Fader upar niche aur hum sab aage duniya peeche
Peeche
Treble aur bass ka dhamaka todh de
Saare bicchke kaale sheeshe
Mol nahi anmol hai
Yeh isske imaan ko na muft mai beche
Fir bhi log kitne neech hai
Jo farzi mukhoto ke piche shaitaan
Apno ke pairo ko kheeche
Asal khel hai yeh
Iss khel ke khiladi hum
Aasaan samajh na chote
Sabse bade khiladi hum
Asal asal asal khel
Asal asal asal khel
Asal khel hai yeh
Iss khel ke khiladi hum
Aasaan samajh na chote
Tu jaali aur sab pe bhaari hum
Stunts nahi moves kehte
Duniya ghum jaaye aisi taakat rakhte
Haqq paane ki zidd karte
Mil raha kuch nahi beh raha rakht hai.
Dekh tiranga lehra raha garv se
Harr ek hindustani kahega gaurav se
Olympics mai bhi aa gaye ab toh
Fir bhi log pehchaane bandar ke khel se
Chamakte sitaaro ko pure brahmaand se
Mitaane kaale badal garajte agyaan se
Kitne bhi barse ye kaali raatien
Indradhanush ke yeh baan chalte
Abhimaan se ghandagi se sansaar bhar raha
Mitaane ungliyon se jaadu kar raha
Nisvaarth hai kitne duniya badalne
Apna chehra naam chupa raha
Shabdo ke samundar mai doob
Gehraayi jab naapega asliyat ko tu jaanega
Andar jitna tu jaayega
Seekhle tairna warna kinaare pe aayega
Chahat badlaav ki
Log apnaayenge ya nahi darr ki aahatien
Tab remo aur ranveer dono maharati full power support mai
Waqt badlega paasa paltega
Jalta diya andhere mai roshan kardega
Gully se town tak street se club tak
Dekh har jagah bajega itihaas rachega
Rango se khafa the ab holi manaayenge
Gaali dene waale bhi apni boli macchayenge
Darr se maa baap ka haath na buraayi ka khaatma de
Meri antar aatma ko shaanti parmaatma.
Asal…khel
Asal…khel
Asal…khel
Asal asal asal asal khel…
Asal khel hai yeh
Iss khel ke khiladi hum
Aasaan samajh na chote
Sabse bade khiladi hum
Asal khel hai yeh
Iss khel ke khiladi hum
Aasaan samajh na chote
Tu jaali aur sab pe bhaari hum
Asal asal asal khel
Asal asal asal khel
Asal khel hai yeh
Iss khel ke khiladi hum
Aasaan samajh na chote
Tu jaali aur sab pe bhaari hum.