Arrey Mian Maashuq Lyrics

in

"Arrey Mian Maashuq" Song Details:

Movie: Shaadi (1941)
Composer(s):Khemchand Prakash
Music Director(s):Khemchand Prakash
Genre(s):Playful
Director(s):Jayant Desai
Music Label:© Saregama
Starring:Madhuri, Motilal, Khurshid, Ishwarlal, Ghori

Arrey Mian Maashuq Lyrics

lyricsbogie.com
Arrey mian maashuq
Maashuq maashuq maashuq
Maashuq hote hain naa maashuq
Maashuq har jageh hain to
Aashiq kahin kahin
Tumse to saikdon hain
Mujh sa koi nahi
Maashuq har jageh hain
Aashiq kahin kahin
Tumse to saikdon hain
Hum sa koi nahi

Main woh majnu nahi
Jee jaan se jaane waala
Main woh majnu nahi
Jee jaan se jaane waala
Main woh farhaad nahi
Naaz uthhaane waala
Main woh farhaad nahi
Naaz uthhaane waala
Aur bhul mein rehna naa
Arrey bhul mein rehna naa
O bhulne waale hargiz
Main to bandaa hun khari
Baat sunaane waala aa
Main to bandaa hun khari
Baat sunaane waala kyaa
Maashuq har jageh hain
Aashiq kahin kahin
Tumse to saikdon hain
Mujh sa koi nahi
Maashuq har jageh hain
Hamare jaise aashiq bahut kam
Saade teen milenge
Ek ek laakh mein

Hum na hote to arrey
Mian agar hum na hote
To malum hai kya hota
Hum na hote to na
Ye shokhhi na masti
Hi hoti husn ke naam pe
Haay raam hasrat hi
Barasti hoti hum na hote to
Hum na hote to
Takey ser nazaakat hoti
Ek paise ki ded ser balke do ser
Tez mandi jo haseenon ki hai
Sasti hoti kya samjhe
Maashuq har jageh hain
Aashiq kahin kahin
Tumse to saikdon hain
Hum sa koi nahi
Maashuq har jageh hain
Aashiq kahin kahin

Hamare jaise aashiq ko
Raam raam kar ke kehta hun
Ke agar tum chiraag le ke
Dhundo to nahi milega
Jaane ko to jaate ho
Par waada kiye jaao
Ke jab yaad meri aaye
To milne ki duaa hargiz na karna
Kasam hai tumhe udaan jhalle ki
Aur saade teen aane
Balke paune chaar aane
Haan mazaaq nahi kar raha.

Arrey Mian Maashuq Lyrics PDF Download
Print PDF      PDF Download

never miss latest songs lyrics.

Sign up to receive an email whenever we post latest hindi song lyrics.

100% No Spamming.