Andhon Pe Daya Karna Daata Lyrics – Lata Mangeshkar
Andhon pe daya karna daata
Apni aankhon ki tumko qasam
Iss jholi ko bharnaa daata
Apni aankhon ki tumko qasam
Andhon pe daya karna daata
Apni aankhon ki tumko qasam
Chhin jaati hai jinki ye jyoti
Rah jaate hain thokar khaane ko
Chhin jaati hai jinki ye jyoti
Rah jaate hain thokar khaane ko
Lut jaati hai unki sab khushiyaan
Gham rahtaa hai dil bahlaane ko
Gham rahtaa hai dil bahlaane ko
Andhon pe daya karna daata
Apni aankhon ki tumko qasam
Iss jholi ko bharnaa daata
Apni aankhon ki tumko qasam
Is dharti hi ki santaan hain ham
Hamse na churaao yoon aankhen
Is dharti hi ki santaan hain ham
Mohtaaj sahi laachaar sahi
Phir bhi to arre insaan hain ham
Phir bhi to arre insaan hain ham
Andhon pe daya karna daata
Apni aankhon ki tumko qasam
Iss jholi ko bharnaa daata
Apni aankhon ki tumko qasam
Ai maalik tu apni duniya mein
Kisi bande ko yoon majboor na kar
Ai maalik tu apni duniya mein
Kisi bande ko yoon majboor na kar
Dene ko to de de har dukhda
Ye aankhen magar benoor na kar
Ye aankhen magar benoor na kar
Andhon pe daya karna daata
Apni aankhon ki tumko qasam
Iss jholi ko bharnaa daata
Apni aankhon ki tumko qasam.