Ajooba Ajooba Lyrics – Hariharan, Sadhana Sargam
Phoolon mein jo khushboo hai
Kaise voh aati hai ajooba
Titli kahaan se ye saare rang laati hain ajooba
Hawa ko bansuuri banaati hai
Sangeet kaise ajooba
Koyal ne sikhe hain itne
Pyaare geet kaise ajooba
Hai ye ajuube lekin ik aur ajooba hai
Dharti se ambar se parbat se saagar se
Hamne suna pyaar ajooba hai
Pahali nazar mein hi jo dilon mein ho
Har woh qaraar ajooba hai
Phoolon se jo khushboo aaye ajooba
Titli jo saare rang laaye ajooba hai
Bansuuri ka yeh sangeet ajooba hai
Koyal jo gaate hain geet ajooba hai
Kaliyon mein mahak aa jaati hai
Yeh bhi ajooba hi hai
Saagar se ghata jo uthti hai
Mitha paani barasti hai
Yeh bhi ajooba hi hai
Jangal mein jugnuun ko dekho to yeh socho
Yeh roshni is mein aayi kaise
Tan mein jo hai jaan voh kis tarah hai
Man mein hai armaan voh kis tarah hai
Kah bhi do yeh bhi to koi ajooba hai
Dharti se ambar se parbat se saagar se
Hamne suna pyaar ajooba hai
Pahali nazar mein hi jo dilon mein ho
Har voh qaraar ajooba hai
Phoolon se jo khushboo aaye ajooba
Titli jo saare rang laaye ajooba hai
Bansuuri ka yeh sangeet ajooba hai
Koyal jo gaate hain geet ajooba hai
Yeh bhi hairaan hai geet ajooba hai
Ajooba…ajooba…ajooba…ajooba…
Kahne ko saat ajuube hain
Par shaayad log yeh bhuule hain
Ek aur ajooba bhi hai
Resham resham chandan chandan
Tera mahaka mahaka yeh badan
Koi ajooba hi hai
Aankhon ke nile darpan
Honthon ka yeh bhigaapan
Yeh ruup tera ajooba hi to hai
Baanhon ki garmi yeh bhi ajooba hai
Haanthon ki narmi yeh bhi ajooba hai
Yeh chaman sa badan koi ajooba hai
Dharti se ambar se parbat se saagar se
Hamne suna pyaar ajooba hai
Pahali nazar mein hi jo dilon mein ho
Har voh qaraar ajooba hai
Phoolon se jo khushboo aaye ajooba
Titli jo saare rang laaye ajooba hai
Bansuuri ka yeh sangeet ajooba hai
Koyal jo gaate hain geet ajooba hai
Yeh bhi hairaan hai jis pe tum voh ajooba ho.