Afreen Afreen Lyrics – Momina Mustehsan, Rahat Fateh Ali Khan
Aisa dekha nahi khoobsurat koi,
Jism jaise ajanta ki murat koi,
Jism jaise nigahon pe jadoo koi,
Jism nagma koi jism khushboo koi,
Jism jaise mehakti hui chandni,
Jism jaise machalti hui ragini,
Jism jaise ke khilta hua ik chaman,
Jism jaise ke suraj ki pehli kiran,
Jism tarsha hua dilkasho dilnashin,
Sandli sandli marmari marmari,
Usne jaana ki tareef mumkin nahi,
Afreen afreen afreen afreen,
Tu bhi dekhe agar toh kahe humnashin,
Afreen afreen afreen afreen,
Usne jaana ki tareef mumkin nahi,
Usne jaana ki tareef mumkin nahi…,
Jane kaisi bandhi tune akhiyon ki dor,
Mann mera khicha chala aaya teri aor,
Mere chehre ki subah zulfon ki sham,
Mera sab kuch hai piya ab se tere naam,
Nazron ne teri chhua toh hai ye jadoo hua,
Hone lagi hoon main haseen,
Afreen afreen afreen,
Afreen afreen afreen,
Afreen afreen afreen,
Afreen afreen afreen,
Chehra ik phool ki tarah sharab hai,
Chehra uska hai ya koi mehtaab hai,
Chehra jaise ghazal chehra jaane ghazal,
Chehra jaise kalli chehra jaise kanwal,
Chehra jaise tasavur bhi tasveer bhi,
Chehra ik khaab bhi chehra tabeer bhi,
Chehra koi aliflailvi dastaan,
Chehra ik pal yakeen chehra ik pal gumah,
Chehra jaisa ke chehra kahin bhi nahi..,
Mahrooh mahrooh mehjabin mehjabin,
Usne jaana ki tareef mumkin nahi,
Usne jaana ki tareef mumkin nahi,
Afreen afreen afreen afreen,
Tu bhi dekhe agar toh kahe humnashin,
Afreen afreen afreen afreen,
Usne jaana ki tareef mumkin nahi…,
Afreen..afreen..