Ae Mere Hum Nasheen Lyrics

in

"Ae Mere Hum Nasheen" Song Details:

Album/Label: Awargi Mein Had Se
Singer(s):Munni Begum
Composer(s):Munni Begum
Music Director(s):Munni Begum
Genre(s):Ghazal
Music Label:© Times Music
Release on:15th April, 2013

Ae Mere Hum Nasheen Lyrics – Munni Begum

Aye mere dil kisi say bhi shikwa na kar,
Aap bulandi pay tera sitara nahin
Ghair ka zikr kia, ghair phir ghair hai,
Jo hamara tha woh bhi hamara nahin

Aye mere ham nasheen chal kahin aur chal haaye,
Is chaman main ab apna guzara nahin
Aye meary ham nasheen chal kahin aur chal,
Is chaman main ab apna guzara nahin
Baat hoti guloon tak to seh lete hum,
Ab to kantoon pay bhi haq hamara nahin
Baat hoti guloon tak to seh lete hum,
Ab to kantoon pay bhi haq hamara nahin
Aye mere ham nasheen

Di sada daar par, aur kabhi toor par,
Kis jagah mainay tumko pukara nahin
Di sada daar par, aur kabhi toor par,
Kis jagah mainay tumko pukara nahin
Thokrain yon khilanay say kia faida,
Saaf keh do kay milna gawara nahin
Thokrain yon khilanay say kia faida,
Saaf keh do kay milna gawara nahin
Aye mere ham nasheen

lyricsbogie.com
Aaj aaye ho tum kal chalay jao gey,
Yeh mohabbat ko apni gawara nahin
Aaj aaye ho tum kal chalay jao gey,
Yeh mohabbat ko apni gawara nahin
Umr bhar ka sahara bano to bano haaye,
Do ghari ka sahara, sahara nahin
Umr bhar ka sahara bano to bano,
Do ghari ka sahara, sahara nahin
Aye mere ham nasheen

Gulsitaan ko laho ki zaroorat pari,
Sab say pehlay hi gardan hamari kati
Gulsitaan ko laho ki zaroorat pari,
Sab say pehlay hi gardan hamari kati
Phir bhi kehtay hain mujh say,
Yeh ahl-e-chaman haaye,
Yeh chaman hai hamara, tumhara nahin
Phir bhi kehtay hain mujh say,
Yeh ahl-e-chaman,
Yeh chaman hai hamara, tumhara nahin
Aye mere ham nasheen

Zaalimo apni kismat pay nazaan na ho,
Dor badlay ga, yeh waqt ki baat hai
Zaalimo apni kismat pay nazaan na ho,
Dor badlay ga, yeh waqt ki baat hai
Woh yakeenan sunay ga sadayen meri,
Kiya tumhara khuda hai hamara nahin!
Woh yakeenan sunay ga sadayen meri,
Kiya tumhara khuda hai hamara nahin!

Aye mere ham nasheen chal kahin aur chal,
Is chaman main ab apna guzara nahin
Baat guloon tak to seh lete hum,
Ab to kantoon pay bhi haq hamara nahin
Aye mere ham nasheen
Apne rukh se zulfain hata li jiye
Mera zouq e nazar azma li jiye
Aj ghar se chala hun main ye soch kar haye
Y to nazri nahi ya nazara nahi.

Ae Mere Hum Nasheen Lyrics PDF Download
Print PDF      PDF Download

never miss latest songs lyrics.

Sign up to receive an email whenever we post latest hindi song lyrics.

100% No Spamming.