Ab Kahan Jaayen Hum Lyrics – Manna Dey
Ab kahan jaayen hum
Ye bataa aye zamin
Is jahaan mein to
Koi hamara nahin
Is jahaan mein to
Koi hamara nahin
Apne saaye se bhi log darne lage
Ab kisiko kisi par bharosa nahin
Ab kisiko kisi par bharosa nahin
Ab kahan jaayen hum
Hum ghar ghar jaate
Hain ye dil dikhlaate hain
Par ye duniyaawaale
Hum ko thukraate hain
Hum ghar ghar jaate
Hain ye dil dikhlaate hain
Par ye duniyaawaale
Hum ko thukraate hain
Raaste mit gaye manzilein kho gayi
Ab kisi ko kisi par bharosa nahin
Ab kahan jaayen hum
Aaa aaa aaa
Vehshat hai nigaahon mein
Ye kaisa zeher phaila
Duniya ki hawaaon mein
Nafrat hai nigaahon mein
Vehshat hai nigaahon mein
Ye kaisa zeher phaila
Duniya ki hawaaon mein
Pyaar ki bastiyaan
Khaaq hone lagin
Ab kisi ko kisi par bharosa nahin
Ab kahan jaayen hum
Har saans hai mushqil ki
Har jaan hai ek moti
Baazaar mein par
Inki ginati hi nahin hoti
Har saans hai mushqil ki
Har jaan hai ek moti
Baazaar mein par
Inki ginati hi nahin hoti
Zindagi ki yaha koi kimat nahin
Ab kisi ko kisi par bharosa nahin
Ab kisi ko kisi par bharosa nahin
Ab kahan jaayen hum
Ye bataa aye zamin
Is jahaan mein to
Koi hamara nahin
Ab kahan jaayen hum.