Ab Ghar Chal Re Lyrics – Geeta Ghosh Roy Chowdhuri (Geeta Dutt)
Aaj nahin to kal,
Bikhrenge ye baadal
O raat ke bhoole huye musaafir,
Subah huyi ghar chal
Ab ghar chal re
Jod le phir se tooti mamta,
Baandh le prem ki dori
Zindgaani se door bhaagna
Hai mann ki kamzori
Ye sab dukh ke pal,
Ek din jaayenge tal
O raat ke bhoole huye musaafir,
Subah huyi ghar chal
Ab ghar chal re
Dhadhhak raha sansaar hamaara,
Dooba bhaagya sitaara
Kise pata hai, iske bheetar
Kya hai prabhu ka ishaara
Chinta chhod sakal,
Har mushqil hogi sehal
O raat ke bhoole huye musaafir,
Subah huyi ghar chal
Ab ghar chal re
Jeewan ek sangraam hai jogi,
Sankat se kya darna
Bhav-saagar mein bhanwar bichhi hain,
Hans hans paar utarna
Ab to zara sambhal,
Tera jaayega bhaagya badal
O raat ke bhoole huye musaafir,
Subah huyi ghar chal
Ab ghar chal re
Aaj nahin to kal,
Bikhrenge ye baadal
O raat ke bhoole huye musaafir,
Subah huyi ghar chal
Ab ghar chal re.