Aate Jate Khubsurat Lyrics – Kishore Kumar
Sadko pe kabhi kabhi itefak se
Aate jate khubsurat aawara
Sadko pe kabhi kabhi itefak se
Kitne anjan log mil jate hain
Un me se kuchh log bhul jate hain
Kuchh yad reh jate hain
Un me se kuchh log bhul jate hain
Kuchh yad reh jate hain
Aate jate khubsurat aawara
Sadko pe kabhi kabhi itefak se
Kitne anjan log mil jate hain
Un me se kuchh log bhul jate hain
Kuchh yad reh jate hain
Un me se kuchh log bhul jate hain
Kuchh yad reh jate hain
Awaz ki duniya ke doston
Kal rat kisi jagah mujhko
Kis kadar yeh hasin khayal mila hain
Raah me ek reshmi rumal mila hain
Kis kadar yeh hasin khayal mila hain
Raah me ek reshmi rumal mila hain
Jo giraya tha kisine jankar
Jiska ho le jayey woh pehchankar
Warna mai rakh lunga
Usako apna jankar
Kisi husnwale ki nishani
Mankar nishani mankar
Hanste gate logo ki bato hi bato
Me kabhi kabhi ek majak se
Kitne jawan kisse ban jate hain
Un kisso me chand bhul jate hain
Chand yad reh jate hain
Un me se kuchh log bhul jate hain
Kuchh yad reh jate hain
Takdir mujhpe meherban hai
Jis shaukh ki yeh dastan hai
Usane bhi shayad
Yeh paigham suna ho
Mere gito me apna
Naam suna ho
Usane bhi shayad
Yeh paigham suna ho
Mere gito me apna naam suna ho
Dur baithi yeh raj woh jan le
Meri aawaz ko pehchan le
Kash phir kal rat jaisi barsat ho
Aur meri usaki kahin
Mulakat ho mlakat ho..
Lambi lambi rato me
Nind nahi jab aaye kabhi
Kabhi iss firaq se
Kitne hasin khwab
Ban jate hain un me se
Kuchh khwab bhul jate hain
Kuchh yad reh jate hain
Un me se kuchh log bhul jate hain
Kuchh yad reh jate hain
Aate jate khubsurat
Aawara sadko pe
Kabhi kabhi itefak se
Kitne anjan log mil jate hain
Un me se kuchh
Log bhul jate hain
Kuchh yad reh jate hain.