Aankh Se Door Na Ho Lyrics – Lata Mangeshkar
Aankh se door na ho dil se utar jaayega
Aankh se door na ho dil se utar jaayega
Waqt ka kya hain guzarta hain guzar jayega
Aankh se door na ho dil se utar jaayega
Itna manoos na ho khilwat-e-gham se apni
Itna manoos na ho khilwat-e-gham se apni
Tu kabhi khud ko bhi dekhega to dar jayega
Waqt ka kya hain guzarta hain guzar jayega
Aankh se door na ho dil se utar jaayega
Tum sar-e-raah-e-wafa dekhte reh jaoge
Aur woh baam-e-rifaqat se utar jayega
Waqt ka kya hain guzarta hain guzar jayega
Aankh se door na ho dil se utar jaayega
Zindagi teri ata hain to yeh jaane wala
Zindagi teri ata hain to yeh jaane wala
Teri bakhshish teri dahleez pe dhar jayega
Waqt ka kya hain guzarta hain guzar jayega
Aankh se door na ho dil se utar jaayega.