Aamli Ki Taamli Lyrics – Asha Bhosle, Manna Dey
Aamli ki tamli
Tamli ke gao me
Sawli si jhume
Shyamli ke pao me
Bichhu kat jata hai
To shor mach jata hai
Aamli ki tamli tamli ke gao me
Sawli si jhume
Shyamli ke pao me
Bichhu kat jata hai to
Shor mach jata hai
Ib kya hoga
Ib kya hoga
Ram hosh na aaya
Aa gayi sham
Log bhag jate hai
Vaid ko bulate hai
Vaid raz aate hai
Aur farmate hai
Tauba iske naam
Se mera nahi ye kam
Aag ka na pani
Ka rog ye jawani ka
Jise lag jata hai
Use lag jata hai
Aamli ki tamli
Tamli ke gao me
Sawli si jhume
Shyamli ke pao me
Bichhu kat jata hai
To shor mach jata hai
Ib kya hoga haye ram
Ho gayi sabki nind haram
Vaid chala jata hai
Jogi aata hai
Hari om shankar
Kanta lage na kankar
Shyamliko dekh ke
Wo farmata hai
Jhut ki kahani hai
Jhut ka fasana hai
Kaisa ye zamana
Hai bichhu ka bahana hai
Meri aankho ko to
Kuch aur nazar aata hai
Aamli ki tamli
Tamli ke gao me
Sawli si jhume
Shyamli ke pao me
Bichhu kat jata hai
To shor mach jata hai
Kis zulmi ka hai ye kam
Jogi chala jata hai
Jadugar aata hai
Jadu vadu dal ke
Wo bhi har jata hai
Sangi sathi
Sareji chinta ke mare ji
Ram ke sahare
Ji dard ke mare ji
Shyamli ke muh se
Koi naam nikal jata hai
Naam nikal jata hai
Ib kya hoga haye ram
Ab to ho gaye wo badnaam
Log jan jate hai
Pahchan jate hai
Ek pardeshi ko
Dhund kar late hai
Sajan aur sajni
Dono pakde jate hai
Prem ki zanzir me
Dono jhakde jate hai
Unko umar kaid ka
Hukam ho jata hai
Unko umar kaid ka
Hukam ho jata hai
Aamli ki tamli
Tamli ke gao me
Sawli si jhume
Shyamli ke pao me
Bichhu kat jaye
Uska byah ho jata hai.