Aadmi Sadak Ka Lyrics – Mohammed Rafi
Mushkil jab kiya iraada pakka
Ke main hun aadami sadak ka
Ke main hun aadami sadak ka
Koyi kaam nahi hain
Mushkil jab kiya iraada pakka
Ke main hun aadami sadak ka
Ke main hun aadami sadak ka
Mohabbat mera dharam imaan hain
Mohabbat mera dharam
Imaan hain meri jaat
Toh sirf insaan hain
Wahi jisne banaaye
Hain dono jahaan
Wahi jisne banaaye
Hain dono jahaan
Woh mera raam hain
Mera rehmaan hain
Sir jhukaaya toh dekhi
Kaashi aur sajda kiya toh makka
Ke main hu main hu
Main hu aadmi sadak ka
Koyi kaam nahi hain
Mushkil jab kiya iraada pakka
Ke main hun aadmi sadak ka
Ke main hun aadmi sadak ka
Piche hat jaau yeh
Maine sikha nahi
Piche hat jaau yeh
Maine sikha nahi hogi manzil
Kaha yeh bhi socha nahi
Jab bada hausla phat gaya phaasla
Jab bada hausla phat gaya phaasla
Rokne se kisi ke main rukta nahi
Himmat hi mera tanga
Himmat hi mera ekka
Ke main hun main
Hun aadmi sadak ka
Koyi kaam nahi hain
Mushkil jab kiya iraada pakka
Ke main hun aadami sadak ka
Ke main hun aadami sadak ka
Ek sadak hain yeh
Insaan ki zindagi
Ek sadak hain yeh
Insaan ki zindagi
Isake har mode par
Miltey gam aur khushi
Jo bhi ghabraaya woh
Reh gaya raah mein
Jo bhi ghabraaya woh
Reh gaya raah mein
Aur gaya jo usi ko
Hain manzil mili
Thokar ko maari thikar
Aur dhakke ko maara dhakka
Ke main hun main
Hun aadmi sadak ka
Koyi kaam nahi hain
Mushkil jab kiya iraada pakka
Ke main hun aadmi sadak ka
Ke main hun aadmi sadak ka.