Ek Dheema Zeher Lyrics – Saket, Sarika Kapoor
Ek nasur hai roz bhadta gya
Ya khuda ya khuda
Ye dahez ka andha kua
Ya chita koi yahan sab dhuan
Besharm aankhen ho chuki
Hai behaya
Hai lahu zubaan ne chakh liya
Rishton ko jaise das liya
Doli uthegi jaane kab
Bhakegi aag
Zinda hai zinda hai marke bhi yahan
Andha hai andha hai yahan saara jahan
Zinda hai zinda hai marke bhi yahan
Andha hai andha hai yahan saara jahan
Kyo zindgi ki chaah mein
Bikhri padi hai raah mein
Kuchle pade phoolon si beti aaj bhi
Hai mitiyon ki wo ladi
Haathon mein aisi ladi
Aankhon mein kyun hai bebasi ki ye nami
Zinda hai zinda hai marke bhi yahan
Andha hai andha hai yahan saara jahan
Zinda hai zinda hai marke bhi yahan
Andha hai andha hai yahan saara jahan
Kya koyi nahi jo tok de
Ye jo jurm hai use rok de
Ye hawas kahan le jayegi
Socho jara
Wo jo baarishon ki talash mein
Lekar katora haath mein
Nikle hain beton sang roko unhe
Dhanda hai dhanda hai sadiyon se yahan
Andha hai andha hai yahan saara jahan
Dhanda hai dhanda hai sadiyon se yahan
Andha hai andha hai yahan saara jahan.