Savdhaan India Anthem Lyrics – Sushant Singh
Bade bujurg keh gaye
Kar bhala to ho bhala
Aap bhala to jag bhala
Par ye kaliyug hai
Yahan jurm ko hoshiyaari
Aur gaddari ko duniyadari kehte hai
Dushman ki bhali nigaah nahi hoti
Khatron ki koi disha nahi hoti
Dushman ki bhali nigaah nahi hoti
To aayi ye hum log bhi aaj se
Ye taiyaari karte hai
Ke har baat pe tark karenge
Koi kuchh bhi kahe hum satark rahenge
Tu salamat rahe tu savdhan rahe
Tu salamat rahe tu savdhan rahe
Shaq karna fikra karna
Pata lagana zikra karna ye shauq nahi pyar hai
Savdhaani insaan ka sab se bada hathiyaar hai
Pachhtane se achha hai satrk rehna
Jaan hai to jahaan hai
Savdhani samajdar ki sab se badi pehchaan hai
Bina bataye aana aadat hai khatron ki
Savdhaani aapki suraksha apno ki.