Bewafa Yun Tera Muskaran Lyrics – Attaullah Khan Esakhelvi
Suna hai log use aankh bhar ke dekhte hai
So uske sheher mein
Kuchh din theher ke dekhte hai
Suna hai raqt hai usko kharaab haalo se
So apne aap ko barbaad karke dekhte hai
Suna hai bole toh baaton se phool jhadte hai
Ye baat hai toh chalo baat karke dekhte hai
Suna hai din ko use titaliyan satati hai
Suna hai raat ko juganu theher ke dekhte hai
Bewafa yun tera muskarana
Bhul jaane ke kaabil nahi hai
Bewafa yun tera muskarana
Bhul jaane ke kaabil nahi hai
Maine jo zakhm khaya hai dil par
Woh dikhane ke kaabil nahi hai
Bewafa yun tera muskarana
Aake kaashid ne dukhda sunaya
Maine khat likhke unko bulaya
Aake kaashid ne dukhda sunaya
Unke paaon mein mehndi lagi hai
Unke paaon mein mehndi lagi hai
Aane jaane ke kaabil nahi hai
Bewafa yun tera muskarana
Maine puchha ke kal sab kahaan the
Pehle sharmaaye phir jalke bole
Maine puchha ke kal sab kahaan the
Pehle sharmaaye phir jalke bole
Aap woh baat kyun puchhate hai
Aap woh baat kyun puchhate hai
Jo batane ke kaabil nahi hai
Bewafa yun tera muskarana
Teero talvaar tum mat uthao
Kyun ye karte ho bekaar zehmat
Teero talvaar tum mat uthao
Kyun ye karte ho bekaar zehmat
Jaante hai tumhari kalaai
Jaante hai tumhari kalaai
Bojh uthane ke kaabil nahi hai
Bewafa yun tera muskarana
Maine jab bhi ki arze tamanna
Zulf ki tarhaa balkhake bole
Maine jab bhi ki arze tamanna
Zulf ki tarhaa balkhake bole
Aise aashiq ko suli chadha do
Aise aashiq ko suli chadha do
Rehem khane ke kaabil nahi hai
Bewafa yun tera muskarana
Bhul jaane ke kaabil nahi hai
Main jo zakhm khaya hai dil par
Woh dikhane ke kaabil nahi hai
Bewafa yun tera muskarana.