Mann Kasturi Lyrics – Amit Kilam, Himanshu Joshi Kashyap, Rahul Ram
Baat na paya meetha paani
Baat na paya meetha paani
Aur chhor ki doori re
Mann kasturi re jag dasturi re
Mann kasturi re jag dasturi re
Baat huyi na puri re
Mann kasturi re jag dasturi re
Baat huyi na… puri re
Khoje apni gandh na paave
Chadar ka paibandh na paave
Khoje apni gandh na paave
Chadar ka paibandh na paave
Bikhre bikhre chhand se pehre
Do hove yeh bandh na paave
Naache hoke firki lattu
Naache hoke firki lattu
Khoje apni dhoori re
Mann kasturi re jag dasturi re
Mann kasturi re jag dasturi re
Baat huyi na puri re
Mann kasturi re jag dasturi re
Baat huyi na… puri re
Ho.. Umar ki ginti haath na aai o..
Purkho ne ye baat bataai
Ulta karke dekh sake to
Ambar bhi hai gehri khaai..
Rekhaaon ke paar nazar ko
Jisne fenka andhe mann se
Satrangi bazaar ka khola
Darwaza bin zor jatan ke
Phir toh jhooma bawla hoke
Sar pe daal phituri re..
Mann kasturi re jag dasturi re
Baat hui na poori re
Mann kasturi re jag dasturi re
Baat hui na poori re
Mann kasturi re jag dasturi re
Baat hui na poori re
Man kasturi re jag dasturi re
Baat hui na baat hui na
Baat hui na poori re
Paaya meetha paani
Baat hui na poori re.