Main Roya Pardes Mein Lyrics – Jagjit Singh
Main roya pardes mein, bheegaa maan kaa pyaar
Dukh ne dukh se baat ki, bin chithhi bin taar
Chhotaa kar ke dekhiye jeevan kaa vistaar
Chhotaa kar ke dekhiye jeevan kaa vistaar
Aankhon bhar aakaash hai, baahon bhar sansaar
Leke tan ke naap ko, ghoomay basti gaanv
Leke tan ke naap ko, ghoomay basti gaanv
Har chaadar ke gher se, baahar nikalay paanv
Sab ki poojaa ek si, alag alag hai reet
Sab ki poojaa ek si, alag alag hai reet
Masjid jaaye maulavi, koyal gaaye geet
Pooja ghar mein murati meera ke sang shyam,
Pooja ghar mein murati meera ke sang shyam,
Jiski jitni chaakari utne uske daam
Nadiya sinche khet ko tota khutre ram
Nadiya sinche khet ko tota khutre ram
Sooraj thekedaar saa sab ko baate kaam
Saat din bhagvaan ke kya mangal kya peer
Saat din bhagvaan ke kya mangal kya peer
Jis din soye der tak bhookha rahe fakeer
Achhi sangat baith kar sangi badle roop
Achhi sangat baith kar sangi badle roop
Jaise mil kar milkar aam se meethi ho gayi dhoop
Sapna zarba neend ka jaagi aankhein pyaas
Sapna zarba neend ka jaagi aankhein pyaas
Paana khona khozna saanso ka itihaas
Chahaen geeta baachiye yaa padhiye khuraan
Chahaen geeta baachiye yaa padhiye khuraan
Mera tera pyaar hi har pustak ka gyaan
Chahaen geeta baachiye yaa padhiye khuraan
Mera tera pyaar hi har pustak ka gyaan
Mera tera pyaar hi har pustak ka gyaan.