Naa Ho Kal Jab Saari Lyrics – S. P. Balasubrahmanyam, Sujatha Mohan
Naa ho kal jab saari
Duniya bolo phir kya karoge
Naa ho kal jab saari
Duniya bolo phir kya karoge
In aankho se tab dekhenge
Nile ambar ko hum
Chumenge hum is dharti ko
Pyar se rukhsat le lenge
Phir seene pe tere sar rakh lenge
Tere umar ki duwa maangenge
Naa ho kal jab saari
Duniya bolo phir kya karoge
Kal jab duniya bolo phir kya karoge
Ek ek pal hai sau jivan sa
Tu jo saath hai mere
Hai do dil apne par ek jaa
Hum maut bhi mar jaaye humpe
Maangu khuda se tujhko hi
Main saare jaha ko bhulake
Naa ho kal jab saari duniya
Bolo phir kya karoge
Naa ho kal jab saari duniya
Bolo phir kya karoge
In aankho se tab dekhenge
Nile ambar ko hum
Chumenge hum is dharti ko
Pyar se rukhsat le lenge
Phir seene pe tere sar rakh lenge
Tere umar ki duwa maangenge
Chaahat jab tak hai duniya
Mein duniya nahi mitegi
Kaate chaahe kitne bhi ho
Kaliya khilti rahegi
Lakho tufa aaye chaahe
Karva chalta rahega
Mitti ka ye jism marega
Pyar to jinda rahega
Naa ho kal jab saari duniya
Bolo phir kya karoge
Naa ho kal jab saari duniya
Bolo phir kya karoge
Rahe naa rahe hum is duniya
Mein yaado mein teri rahenge
Dur se hi hum us duniya se
Tujhko dekha karenge
Jeeti rahe tu itne dino
Tak jitne ambar pe tare
Naa ho kal jab saari duniya
Bolo phir kya karoge.