Jaisi Karni Vaisi Bharni Lyrics – Mohammed Rafi
Yahi prabhu ka nyaay
Boye beej babul ke
Toh aam kahaan se khaay
Jo jaisa boye beej yahaan karni ka
Jo jaisa boye beej yahaan karni ka
Waisa hi woh phal paata
Dusro ke ghar mein aag lagane wala
Khud hi usmein jhal jaata
Jo jaisa boye beej yahaan karni ka
Dhool uchhali toh sar pe giregi
Bande na itne bhool
Kankar ke badale patthar milega
Kaante ke badale sool
Jo jaisa apna khata dikhata
Jo jaisa apna khata dikhata
Wo waisa hisaab chukata
Dusro ke ghar mein aag lagane wala
Khud hi usmein jhal jaata
Jo jaisa boye beej yahaan karni ka
Neki ka rasta seedha badha tu
Tedha na ispar chala kar
Jo chahta hai apni bhalaai
Toh duniya mein sab ka bhala kar
Dusro ke ghar mein deep jalane wala
Dusro ke ghar mein deep jalane wala
Apna andhera mita ta
Dusro ke ghar mein aag lagane wala
Khud hi usmein jhal jaata
Jo jaisa boye beej yahaan karni ka
Waisa hi woh phal paata
Dusro ke ghar mein aag lagane wala
Khud hi usmein jhal jaata
Jo jaisa boye beej yahaan karni ka.