Gar Teri Nawaazish Ho Jaaye Lyrics

in

"Gar Teri Nawaazish Ho Jaaye" Song Details:

Movie: Gul Bahar (1954)
Singer(s):Talat Mahmood
Lyricist(s):Shewan Rizvi
Composer(s):Mohammed Zahur Khayyam
Music Director(s):Mohammed Zahur Khayyam
Genre(s):Happy (Feel Good)
Director(s):Nanubhai Vakil
Music Label:© Saregama
Starring:Hemanta Mukherjee, Shakila, Randhir, Ram Avtar, Tun Tun, Chand Burke, Ramesh Thakur, M. Kumar, Khairati, Shanti Madhok
Release on:1st January, 1954

Gar Teri Nawaazish Ho Jaaye Lyrics – Talat Mahmood

lyricsbogie.com
Gar teri nawaazish ho jaaye
Gar tera ishaara ho jaaye
Har mauj sahaara de jaaye
Toofaan kinaara ho jaaye
Gar teri nawaazish ho jaaye

Tum hamse zafaayen karte ho
Aur hum ye duaayen dete hain
Tum hamse zafaayen karte ho
Aur hum ye duaayen dete hain
Jo haal hamaara hai
Ek din wo haal tumhaara ho jaaye
Gar teri nawaazish ho jaaye

Hum ishqa ke maare duniya mein
Itni si tamanna rakhte hain
Hum ishq ke maare duniya mein
Itni si tamanna rakhte hain
Daaman jo tumhaara haath aaye
Jeena ka sahaara ho jaaye
Gar teri nawaazish ho jaaye

Parda jo hata do chehre se
Veeraan e gulistaan ban jaaye
Parda jo hata do chehre se
Veeran e gulistaan ban jaaye
Jalwa jo dikha do to raushan
Qismat ka sitaara ho jaaye
Gar teri nawaazish ho jaaye
Gar tera ishaara ho jaaye
Har mauj sahaara de jaaye
Toofaan kinaara ho jaaye
Gar teri nawaazish ho jaaye.

Gar Teri Nawaazish Ho Jaaye Lyrics PDF Download
Print PDF      PDF Download

never miss latest songs lyrics.

Sign up to receive an email whenever we post latest hindi song lyrics.

100% No Spamming.