Tumne Kiya Hai Aisa Gunah Lyrics – Gautam Chattopadhyay, Sadhana Sargam
Aisa kiya hai maine gunah
Jo mujhko nahi karna tha
Aisa kiya hai maine gunah
Jo mujhko nahi karna tha
Namumkin ko mumkin kar dun
Aisa maine socha tha
Tumne kiya hai aisa gunah
Jo tumko nahi karna tha
Tumne kiya hai aisa gunah
Jo tumko nahi karna tha
Namumkin mumkin ho jaaye
Aisa tumne socha tha
Aisa kiya hai maine gunah
Jo tumko nahi karna tha
Khayi thi kasme wada kiya tha
Pyar tumne kisi aur se kiya tha
Khayi thi kasme wada kiya tha
Usne basai apni duniya
Tumne ujadi meri duniya
Yeh bhi gunah hai
Wo bhi gunah tha
Aisa kiya hai maine gunah
Jo mujhko nahi karna tha
Dard hi dard hai
Meri zindagi mein
Hogi naseeb khushi
Kya zindagi mein
Dard hi dard hai
Meri zindagi mein
Hogi naseeb khushi
Kya zindagi mein
Yaad nahi mujhko
Wo din hai the
Kitne aashiyane kitne
Mehal jo chune the
Zindagi mein hasna
Chaha kya yeh gunah tha
Marne ke baad bhi
Jeena chahata hun
Dil banke sine mein
Dhadkna chahata hun
Marne ke baad bhi
Jeena chahata hun
Dil banke sine mein
Dhadkna chahata hun
Mar ke bhi tum mujh
Mein shamil ho aise
Jism aur ruh ka
Rishta ho jaise
Main apnio zindagi
Pe zar zar hota hun
Aisa kiya hai maine gunah
Jo mujhko nahi karna tha
Tumne kiya hai aisa gunah
Jo tumko nahi karna tha
Namumkin mumkin ho jaaye
Aisa tumne socha tha
Tumne kiya hai aisa gunah
Jo tumko nahi karna tha.