Der Lagi Lekin Lyrics – Shankar Mahadevan
Hai jeena seekh liya
Jaise bhi ho din
Maine ab hai jeena
Seekh liya ab maine
Yeh jaana hai khushi
Hai kya gumm kya
Dono hi do pal ki hai ruttein
Na yeh thehre na rukey
Zindagi do rangon se bane
Ab roothe ab maane
Yehi toh hai yehi toh hai yahaan
Der lagi lekin maine ab
Hai jeena seekh liya
Aansuon ke bin maine
Ab hai jeena seekh liya
Ab maine
Yeh jaana hai kise kahoon apna
Hai koi jo yeh mujhse keh gaya
Yeh kahan tu reh gaya
Zindagi toh hai jaise karvaan
Tu hai tanha kab yahan
Sabhi toh hai sabhi toh hai yahaan
Koi sunaaye joh hassti
Muskaraati kahani
Kehta hai dil main bhi sunu
Aansu bhi moti ho
Jo kisi ke nishaani
Kehta hai dil main bhi chunu
Baahein dil ki ho
Baahon mein chalta
Chalun yunhi raahon mein
Bus yunhi ab yahan kab wahan
Der lagi lekin maine
Ab hai jeena seekh liya
Aansuon ke bin maine
Ab hai jeena seekh liya
Hai koi jo yeh mujhse keh gaya
Yeh kahan tu reh gaya
Zindagi toh hai jaise karvaan
Tu hai tanha kab yahan
Sabhi toh hai sabhi toh hai yahaan
Sabhi toh hai sabhi toh hai yahaan.