Khushboo Ki Tasveerein Lyrics – Roop Kumar Rathod
Khushboo ki tasveerein jaise
Khushboo ki tasveerein jaise
Hawaao pe lakeere jaise
Khubsoorat raat aur shabnam ke qatre
Kuchh rishtey hai chand ke par
Kuchh rishtey hai chand ke par
Naa jaane kaise kyaa hota hai
Apno se faasla hota hai
Koi achanak yun aa jaaye
Rishto ka kaarvaan hota hai
Pyaar ka yeh jaadu hai
Aankhein wahin aur badli hai nazrein
Kuchh rishtey hai chand ke par
Kuchh rishtey hai chand ke par
Oo khwaabon mein hi sone lage hum
Khwaabon mein hi sone lage hum
Yun hi kisi ke hone lage hum
Aansu bhi muskurane lage toh
Zindagi ko pirone lage hum
Lamhaa lamhaa saansein mehke
Aarzoo se har bhare
Kuchh rishtey hai chand ke par
Kuchh rishtey hai chand ke par
Khushboo ki tasveerein jaise
Khushboo ki tasveerein jaise
Hawaao pe lakeere jaise
Khubsoorat raat aur shabnam ke qatre
Kuchh rishtey hai chand ke par
Yeh rishtey hai chand ke par
Yeh rishtey hai chand ke par.