Aaye Re Khushi Ke Din Lyrics – Anuradha Paudwal, Mohammed Rafi, Mukesh Chand Mathur (Mukesh)
Rakhe ram salamat
Ik hal do bailo ki jodi
Humko kahe ka gham
Baju pakke te chati chaudi
Dharti gaye re aaye re
Khushi ke din aaye dharti gaye re
Khushi ke din aaye re dharti gaye re
Mittti me sab milta hai
Are aaj mile ya kal mile
Mehnat ka fal milta hai
Aaye re khushi ke din aaye
Aaye re dharti gaye re
Hal ke sath banate hai
Dharti pe hum tasvire
Hal ke sath banate hai
Dharti pe hum tasvire
Apne hatho se likhte
Hai apni hum takdire
Kaam karte karte
Humko hai marna jina
Pani kam hai to kya hai
Bahne do khun pasina
Bahne do khun pasina
Jo baitha aakash ko dekhe
Wo piche pachtaye re dharti gaye re
Aaye re khushi ke din
Aaye re dharti gaye re
Aaye re khushi ke din
Aaye re dharti gaye re
Jaldi jaldi hath chalao
Saathi bij hai bona
Jaldi jaldi hath chalao
Saathi bij hai bona
Beej pade par is
Mitti se paida hoga sona
Apni kaun sunega
Hum kiska nam pukare
Sabse acha apni bigdi aap saware
Bigdi aap saware
Wo bukha kyu rahe bhala
Jo sabki bukh mitaye
Re dharti gaye re
Aaye re khushi ke din
Aaye re dharti gaye re
Aaye re khushi ke din
Aaye re dharti gaye re
Jhum uthi fasle kheto ko
Khatam hui rakhwali
Jhum uthi fasle kheto ko
Khatam hui rakhwali
Ab katenge hali angan
Bhar jayenge khali
Sab hatho me daratiya
Leke jab nikle gawo me
Sab hatho me daratiya
Leke jab nikle gawo me
Nach uthi panihariya
Pahan ke jhanjar paav me
Khwab kisano ke
Kheto me lahraye
Re dharti gaye re
Aaye re khushi ke din
Aaye re dharti gaye re
Rakhe ram salamat
Ik hal do bailo ki jodi
Humko kahe ka gham
Baju pakke te chati chaudi
Aaye re khushi ke din
Aaye re dharti gaye re
Aaye re khushi ke din
Aaye re dharti gaye re
Aaye re khushi ke din
Aaye re dharti gaye re
Aaye re khushi ke din
Aaye re dharti gaye re.