Ajab Ek Pagal Si Ladki Hai Lyrics – Pankaj Udhas
Ajab ek pagal si ladki hai
Ajab ek pagal si ladki hai
Mujhe har khat mein likhati hai
Batao tum mujhe pehle ke
Jaise pyaar karte ho
Tumhein har waqt kya
Kabhi meri yaade satati hai
Nazaron mein tumhein
Dikhati hai kyaa parchhaiya meri
Tumhein kyaa shaam ko
Abhi meri baahein bulaati hai
Ajab ek pagal si ladki hai
Tumhaari aankh mein chhup kar kyaa
Mera khwaab rehta hai
Tumhara dil abhi tak
Kya meri khatir dhadkta hai
Tumhein khamoshi o mein
Kyaa meri aawaaz aati hai
Andheron mein abhi tak kyaa
Mera chehra chamkta hai
Ajab ek pagal si ladki hai
Ghum-e-duniya mein kuchh aisa
Na ab woh dil hi baaki hai
Na ab woh dhadkane baaki
Sheher se shaam tak
Jeevan mein itna shor rehta hai
Na woh khamoshiya baaki
Na ab woh aahate baaki
Main chahun bhi to tumko yaad
Karne ki nahin fursat
Bada mashruf hai har pal kahaan
Milati hai ye mohalat
Woh phirse puchhati hai
Kyaa bhuladala mujhe tumne
Woh ek maasum saa rishta
Jala daala usse tumne
Ajab ek pagal si ladki hai
Main kehta hoon jahaan ki
Aag mein sab kuchh jala lekin
Tumhara khwaab aankhon
Mein pada hai adhjala lekin
Main tumko bhul jaane ka
Yakeen khud ko dilata hoon
Tumhare bin bhi hoon zinda
Yahin sab ko batata hoon
Magar aankhon mein rehta hai
Tumhare naam ka aansu
Har ek mehfil mein yun to
Main hamesa khil-khilata hoon
Ajab ek pagal si ladki hai
Mere dil ke har ek kone mein
Ab tak tu dhadkti hai
Koi bhi phool dekhun main to
Usmein tu mehkti hai
Tere hi khwaab ke jugnu mere
Palkon pe aate hai
Teri hi yaad raato mein
Sitaaron si chamkti hai
Hai jinko tajurba ulfat ka
Woh humko batate hai
Jinhein hum bhul na chahein
Woh aksar yaad aate hai
Hunar yun to zamane mein
Mujhe kyaa kuchh nahin aaya
Tumhein main bhul jaaun
Bas yahin jaadu nahin aaya
Tumhein main bhul jaaun
Bas yahin jaadu nahin aaya.