Mumkin Hai Lyrics – Ram Sampath
Mumkin hai, mumkin hai
Banjar dharti ke seene par
Pair patak kar nanha ankur
Ek hari si zid par utre, mumkeen hai
Mumkeen hai mumkeen hai
Mumkeen hai
Suraj muthi ke andar ho
Aur daraaro se ungli ki jhalak
Roshni phars pe utre, mumkin hai
Mumkeen hai mumkeen hai
Mumkeen hai
Aankh hazaro par ek sapna
Raah hazaron par ek manzil
Pyas hazaron par ek baarish
Mumkeen hai mumkeen hai
Mumkeen hai
Mumkeen hai mumkeen hai
Mumkeen hai
Mumkeen hai mumkeen hai
Mumkeen hai mumkeen hai
Aur nichod ke ek baadal se
Honth bheegona, mumkin hai
Ek deepak ka tufaan se aao khelen
Keh kar masti me lehraana, mumkeen hai
Khwaabo ko aansu nehlaana
Aur phir dhule dhule khwaabo ko dekhna
Phir se dekhte jaana, mumkeen hai
Mumkeen hai mumkeen hai
Mumkeen hai
Ik masoom sa kaagaj le kar
Banaa ke kashti armaano ki
Ik safar pe chalte jaana, mumken hai
Mumkeen hai mumkeen hai
Mumkeen hai
Ghane darakhton ke saaye mein
Patjhad ki takleef sochna, moomkin hai
Khili khili se dhup ki root mein…
Sharad raat ki tish sochna, moomkin hai
Bicho-bich hatheli ke
Ik naarangi angaara rakhna
Rooh talak phir sulagte jaana, moomkin hai
Mumkeen hai mumkeen hai
Mumkeen hai
Aane waale kal ki aahat
Dur se suna aur darwaaje khol ke
Rekhna raah sajaana, moomkin hai
Aankh hazaaro par ik sapna
Raah hazaaro par ek baaris
Mumkeen hai mumkeen hai
Mumkeen hai
Mumkeen hai mumkeen hai
Mumkeen hai
Mumkeen hai mumkeen hai
Mumkeen hai mumkeen hai.