Qaid-e-Azam Lyrics – Shehzad Roy
To kya sharti bacchhe
Bada ho ke kuch nahi kar sakte
Kya mein peeche reh jaaon ga
Nahi nahi nahi aisa bilkul bhi nahi hai
Quaid-e-azam jab chhote the
Wo bhi nani se shararat karte honge
Lakin kehte honge
Mein ek din kuch banoonga
Nana jee aap bhi yaad kareinge
Lalalalala…lalalalala…lalalalala
Larna girna rona dhona
Hota tha sabhi
Bade huay par yeh baatein, hue na bari
Lalalalala…lalalalala…lalalalala
Woh jo bade hue, hue duniya badi
Hamein mili zameen, aasman aa
Quaid-e-azam jab chhote the
Wo bhi nani se zid kar k qise sunte
Aur yeh kehte, mein aik din kuch banoonga
Nana jee aap bhi
Yaad kareinge yaad kareinge
Pyari pyari aankhein unki aisi to thi
Seedhi sadhi baatein tere jaisi to thi
Lalalalala…lalalalala…lalalalala
Unke liye tha jo tere liye bhi hai ai
Quaid-e-azam jab chhote the
Wo bhi nani se shararat karte honge
Lakin kehte honge
Mein ek din kuch banoonga
Nana jee aap bhi yaad kareinge
Lalalalala…lalalalala…lalalalala.