Pyar Karun Ya Na Karun Lyrics – Ameeta Parsuram
Haan mujhe yaad hain
main hi kahan tha tujhse
Mere mehboob tere
pyaar pe mere haq hain
Ab ye aalam hain ke
dil puchh raha hain tujhse
Aye meri jaan tujhe
pyar karun ya na karoon
Main tujhe pyaar karu
bhi to bata kaise karoon
Teri pehchan karun
bhi to bata kaise karoon
Guftagu sheri mein na
lehzaa mein kashish pehali si
Dil mein dhadkan na badan
mein woh hara rakt baaki
Kyaa wahi tu hain
jise tut ke chaha maine
Koan tha woh ke jise
pyaar kiya tha maine
Woh bhi din the ke bichhad
ne ka tasvoor bhi na tha
Raste mere teri raah
se jaa milte the
Hum safar tu tha magar
saath chala hain maaji
Teri yaade hain mere
saath ke jeenda lashe
Raakh hota hi gaya
apni mohabbat ka wajood
Kyaa isi raakh mein
chingari dabi hain koi
In sawalat ke sholo
mein na jal jaaoon kahin
Bas isi soch ke hum
raah main chal deti thi
Kuchh kadam chal ke
wahi loat ke aa jaati thi
Phir ussi maaji ke dariyan
mein sama jaati thi
Silsila chalta raha
ek zamane se bhi
Na koi raah na
manzil na thikana koi
pyaar ki azmat ka bharam
Saamna sach ka huaa
sach ne sawalat kiye
Jab muhobbat hi nahi
haq ki tamanna kyun hoe
Kyun tabiyat ko sharabo
ka talabgaar karun
Khub maloom hain dil
ko ki khatta kis ki hain
Kyun yakeen tuj pe karoon
khud ko gunehgaar karun
Ek khwaish hain ki woh
duniya mein taklif karoon
Dil dhadkte ho jahaan
rooh jahan zinda ho
Sare zare se muhobbat
ho numaya jis jahaan
Daastan dil ke bayan
karne ko aankhe ho jubaan ho
Pyaar ki duniya se
wakef to nahi tu lekin
Jaane kyun aaj mujhe
tera khayaal aaya hain
Besabb tujhse jo rishta
hain usi ki khatir
Mere hotho pe mere
dil ka sawaal aaya hain
Aye meri jaan tujhe
pyar karun ya na karoon
Aye meri jaan tujhe
pyar karun ya na karoon.