Na Ab Muskurane Ko Jee Chahta Hai Lyrics – Pankaj Udhas
Na aansu bahane ko jee chahta hai
Na ab muskurane ko jee chahta hai
Na aansu bahane ko jee chahta hai
Bahot din huye tujhko dekha nahi hai
Tere paas aane ko jee chahta hai
Na ab muskurane ko jee chahta hai
Raho samne aur nazare churao
Bulaun main tumko magar tum na aao
Raho samne aur nazare churao
Bulaun main tumko magar tum na aao
Ye dil chahta hain ke tum ruth jaao
Tumhein phir manane ko jee chahta hai
Na ab muskurane ko jee chahta hai
Jahan par naho milane julane mein uljan
Jahan sun saku main tere dil ki dhadkan
Jahan par naho milane julane mein uljan
Jahan sun saku main tere dil ki dhadkan
Jahan par na ho pyaar ka koi dushman
Kahin door jaane ko jee chahta hai
Na ab muskurane ko jee chahta hai
Bahot mar chuke aao kuchh der jee le
Bahot pyaas hain aao jee bhar ke pee le
Bahot mar chuke aao kuchh der jee le
Bahot pyaas hain aao jee bhar ke pee le
Ye aankhein hain yaa jaise do mai ki jeele
Yahin doob jaane ko jee chahta hain
Na ab muskurane ko jee chahta hai
Na aansu bahane ko jee chahta hai
Bahot din huye tujhko dekha nahi hai
Tere paas aane ko jee chahta hai
Na ab muskurane ko jee chahta hai.