Kati Hai Gham Ki Raat Lyrics – Nina Mehta, Rajendra Mehta
Bade ehtaraam se
Kati hai gham ki raat
Bade ehtaraam se
Aksar buja liya hain
Charago ko shaam se
Roshan hain apni bazm
Aur iss ehtamaam se
Kuchh dil bhi jal rahe hain
Charago ke naam se
Kati hai gham ki raat
Bade ehtaraam se
Kaati tamaam umra
Farebi bahaar mein
Kaati tamaam umra
Farebi bahaar mein
Kaante samet te rahe
Phoolo ke naam se
Kaante samet te rahe
Phoolo ke naam se
Subahe bahaar hum ko
Gulaabi rahi magar
Subahe bahaar hum ko
Gulaabi rahi magar
Hum khelate rahe
Kisi zulfon ki shaam se
Kati hai gham ki raat
Bade ehtaraam se
Ye aur baat hain ki
Ali hum na sun sake
Ye aur baat hain ki
Ali hum na sun sake
Aawaz usne di hain
Hamein har maqaam se
Aawaz usne di hain
Hamein har maqaam se
Aawaz usne di hain
Hamein har maqaam se
Aawaz usne di hain
Hamein har maqaam se.