Tum To Thahre Pardeshi Lyrics – Mohammed Aziz
Tum to thehre pardesi
Saath kya nibahaaoge
Tum to thehre pardesi
Saath kya nibahaaoge
Tum to thehre pardesi
Saath kya nibahaaoge
Tum to thehre pardesi
Saath kya nibahaaoge
Tum to thehre pardesi
Saath kya nibahaaoge
Tum to thehre pardesi
Saath kya nibahaaoge
Subaha pehli,
Subaha pehli subaha pehli
Subaha pehli gaadi se
Ghar ko laut jaaoge
Subaha pehli gaadi se
Ghar ko laut jaaoge
Tum to thehre pardesi
Saath kya nibahaaoge
Jab tumhein akele mein
Meri yaad aayegi
Jab tumhein akele mein
Meri yaad aayegi
Khichein khichein hue rahetin ho kyon
Khichein khichein hue rahetin ho
Dhyan kiska hain
Zara batao toh
Yeh imtihaan kiska hain
Hamein bhula do magar
Yeh to yaad hi hoga
Hamein bhula do magar
Yeh to yaad hi hoga
Nayi sadak pe purana
Makaan kiska hain
Jab tumhein akele mein
Meri yaad aayegi
Aasuon ki aasuon ki aasuon ki
Baarish mein tum bhi bheeg jaaoge
Aasuon ki baarish mein
Tum bhi bheeg jaaoge
Tum toh thehre pardesi
Saath kya nibahaaoge
Ghum ke dhup mein
Dil ki hasratein na jal jaaye
Ghum ke dhup mein
Dil ki hasratein na jal jaaye
Tujhko yeh
Tujhko dekhenge sitaarein
Toh ziya maangenge
Tujhko dekhenge sitaarein
Toh ziya maangenge
Aur pyaase teri zulfo se
Ghata maangenge
Apne kaandhe se duppata
Na sarakne dena
Warna budhe bhi jawani ki
Duwa maangenge
Imaan se
Ghum ke dhup mein
Dil ki hasratein na jal jaaye
Ghum ke dhup mein
Dil ki hasratein na jal jaaye
Kesuwo ke kesuwo ke kesuwo ke
Ke saaye mein kab hamein sulaaoge
Kesuwo ke ke saaye mein
Kab hamein sulaaoge
Tum toh thehre pardesi
Saath kya nibahaaoge
Mujhko katla kar daalo
Shauk se magar socho
Mujhko katla kar daalo
Shauk se magar socho
Is shehare namuraad ki
Izzat karega kaun
Arey ham hi chale gaye
Toh mohabbat karega kaun
Is ghar ki dekhbhal ko viraaniyan to ho
Is ghar ki dekhbhal ko viraaniyan to ho
Jaale hata diye toh hifazat karega kaun
Mujhko katla kar daalo
Shauk se magar socho
Mujhko katla kar daalo
Shauk se magar socho
Mere baad, mere baad, mere baad
Tum kispar yeh bijliya giraaoge
Mere baad tum kispar
Yeh bijliya giraaoge
Tum toh thehre pardesi
Saath kya nibahaaoge
Yu toh zindagi apni maikade mein gujri hain
Yu toh zindagi apni maikade mein gujri hain
Yu toh zindagi apni maikade mein gujri hain
Ashko mein husno rang samota raha hoon main
Ashko mein husno rang samota raha hoon main
Aanchal kisika thaam ke rota raha hoon main
Nikhra hain jaake ab kahi chehra shahur ka
Nikhra hain jaake ab kahi chehra shahur ka
Barso ise sharab se dhota raha hu main
Yun toh zindagi apni maikade mein gujri hain
Behki hui bahaar ne peena sikha diya
Badmast bargo baar ne peena sikha diya
Peeta hoon is garaj se ke
Jeena hain chaar din
Peeta hu is garaj se ke
Jeena hain chaar din
Marne ke intejaar ne peena sikha diya
Yu toh zindagi apni maikade mein gujri hain
Yu toh zindagi apni maikade mein gujri hain
In nashili in nashili in nashili
Aankhon se kab hamein peelaoge
In nashili aankhon se
Kab hamein peelaoge
Tum toh thehre pardesi
Saath kya nibahaoge
Kya karoge tum aakhir
Kabra par meri aakar
Kya karoge tum aakhir
Kabra par meri aakar
Kya karoge tum aakhir
Kabra par meri aakar
Kyon ke
Jab tumse itefaakan
Jab tumse itefaakan
Meri nazar mili thi
Ab yaad aa raha hain
Shayad woh janwary thi
Tum yu mili dubara
Jab maahe farwary mein
Jaise ke hamsafar ho
Tum raahein zindagi mein
Kitna hasi zamana
Aaya tha march lekar
Raahein wafa pe thi
Tum waadon ki torch lekar
Baandha jo ahde ulfat
Aprail chal raha tha
Duniya badal rahi thi
Mausam badal raha tha
Lekin mayi jab aayi
Jalne laga zamana
Har shaks ki zabaan
Par tha bas yahi fasana
Duniya ke darr se
Tumne badli thi jab nigaahein
Tha june ka mahina
Lab pe thi garm aahein
Jully mein jo tumne ki
Baatchit kutch kam
Thein aasman pe baadal aur
Meri aankhein purnam
Mahe agast mein
Jab barsaat hoo rahi thi
Bas aasuon ki baarish
Din raat ho rahi thi
Kuch yaad aa rahi hain
Woh maah tha sitambar
Bheja tha tumne mujhko
Tarke wafa ka letter
Tum gair ho rahi thi
Octubar aa gaya tha
Duniya badal chuki thi
Mausam badal chuka tha
Jab aa gaya navamber
Aaisi bhi raat aayi
Mujhse tumhein chudane
Sajkar baraat aayi
Bekhaif tha december
Jasbaat mar chuke thein
Mausam tha sard usmain
Armaan bikhar gaye the
Lekin yeh kya batau ab haal dusra hain
Lekin yeh kya batau ab haal dusra hain
Lekin yeh kya batau ab haal dusra hain
Lekin yeh kya batau
Ab haal dusra hain
Arey woh saal dusra tha
Yeh saal dusra hain
Woh saal dusra tha
Yeh saal dusra hain
Woh saal dusra tha
Yeh saal dusra hain
Kya karoge tum aakhir
Kya karoge tum aakhir
Kabra par meri aakar
Thodi der thodi der thodi der
Aur loge aur bhool jaaoge
Thodi der ro loge aur bhool jaaoge
Thodi der ro loge aur bhool jaaoge
Tum toh thehre pardesi
Saath kya nibhaaoge
Tum toh thehre pardesi
Saath kya nibhaaoge
Tum toh thehre pardesi
Saath kya nibhaaoge
Subah pehli gaadi se
Ghar ko laut jaaoge
Subah pehli gaadi se
Ghar ko laut jaaoge
Subah pehli gaadi se
Ghar ko laut jaaoge.