Majboori Ke Mausam Mein Lyrics – Pankaj Udhas
Jeena padta hain
Majboori ke mausam mein bhi
Jeena padta hain
Thoda sa samjotaa jaanam
Karna padta hain
Majboori ke mausam mein bhi
Jeena padta hain
Kabhi kabhi kuch is hadtak
Badh jaati hain lachaari
Kabhi kabhi kuch is hadtak
Badh jaati hain lachaari
Lagta hain ye jeevan jaise
Boj ho koi bhaari
Dil kehata hain roye
Dil kehata hain roye
Lekin hasna padta hain
Majboori ke mausam mein bhi
Jeena padta hain
Kabhi kabhi itani dhoondhali
Ho jaati hain tasveere
Kabhi kabhi itani dhoondhali
Ho jaati hain tasveere
Patta nahi chalta kadmon mein
Kitani hain zanjeere
Paaon bandhe hote hain phir bhi
Chalna padta hain
Majboori ke mausam mein bhi
Jeena padta hain
Ruth ke jaane waala baadal
Tutne waala taara
Ruth ke jaane waala baadal
Tutne waala taara
Kisko khabar inn lamhon mein
Bann jaaye koi sahara
Duniya jaisi bhi ho
Duniya jaisi bhi ho
Rishta rakhna padta hain
Majboori ke mausam mein bhi
Jeena padta hain
Thoda sa samjotaa jaanam
Karna padta hain
Majboori ke mausam mein bhi
Jeena padta hain.